Jan 8, 2010

Apni Zindagi shumar Karta Hun

Apni Zindagi shumar Karta Hun


Apni Zindagi shumar Karta Hun
Main Tum se itna Pyar Karta Hun

Main banata hun Tasveerain Tumhari,
Phir tum se baatein Hazar Karta Hun

Tumhare dukh bhi Khaloos-e-niyat se
Apne dukh mein Shumar Karta hun

Sach samajhta hun Jhoot bhi tumhare
Yun main tumhara Aitbar Karta hun

Pehlay rakhta hun Phool raahon mein
Phir main tumhara Intezar Karta Hun

Aaj door ho mujh se to kiya hua
Jaan to aaj bhi tum pe Nisar Karta hun...!!


"2 Ajnabi dost"
   ME & yOU
 

No comments: