Oct 23, 2010

GuriyA ki zindAgi

[GuriyA ki zindAgi]


In Tanha Tanha Rahoun Per

Mai Aksar Sochti Jati Hoon

Jab Beeti Batain Yaad Aaein

Tu Khud Se Poochti Jati Hoon

Yeh Shehr Purana Lout Aya

Mehfil Mai Veerana Lout Aya

Ek Bheer Mai Logoun Ki Ab Mai

Kuch Dhondti Phirti Jati Hoon

In Tanha Tanha Rahoun Per
Mai Aksar Sochti Jati Hoon

Kaliyan,Phool,Shabnam Aur Mosam

Aj Bhi Buhat Suhanay Hain

Kuch Saal Pehlay Jo Daikha Tha

Sab Aj Bhi Waisay Anjanay Hain

Ehsas Bhi Ek Khilona Hai

Jab Chaho Jaisay Chor Hi Do

Is Dunia Mai Ek Khail Bhi Hai

Yeh Dil Hai Isko Tor Hi Do

Yunhi In Galiyoun Mai Aksar

Mai Akaili Sochti Jati Hoon

Jab Koi Humdam Na Milay To

Khud Ko Kosti Jati Hoon

In Tanha Tanha Rahoun Per

Mai Aksar Sochti Jati Hoon


Her Cheez Purani Waisi Hai

Bus Kuch Log Puranay Na Loutay

Kion Hoa Meray Sath Sitam

Mai Khud Se Poochti Jati Hoon

EK Rab Ka Hukam Samjh Ker Mai

Sab Kuch Bhoolti Jati Hoon

Phir Achanak Se Kuch Yaad Aya

Mai Phir Say Roti Jaati Hoon

In Tanha Tanha Rahoun Per

Mai Aksar Sochti Jati Hoon

Logoun Ki Bheer Se Mera To

Ab Roz Guzarna Hota Hai

Apna Guzra Kal Mai To

In Mai Daikhti jati Hoon

Bachpan Mai Inhi Rahoun Se

Mai Parhnay Jaya Kerti Thi

Rastay Mai Her Ek Insan Se

Mai Khud Ko Uljhaya Kerti Thi

Chanchal Shok Adaen Thi

Paon To Hawa Mai Hotay Thay

Hasti Bhagti jati Thi

Mai Sab Ko Sataya Kerti Thi

Koi Dukh Meray Pas Na Tha

Mai Urti Fiza Ki Payal Thi

Jawani Ka Pehna Ker Taj Mujhko

Has Kay Lout Gea Bachpan

Ab Aksar Unhi Rahoun Per

Mai Chup Chap Chalti Jati Hoon

Apnay Masoom Bachpan Ko

Mai Khud Dhoraya Kerti Hoon


In Tanha Tanha Rahoun Per

Mai Aksar Sochti Jati Hoon

Zindgi K Badaltay Is Andaz Ko

Mai Aksar Sochti Jati Hoon

Ansoun Ankhoun Mai Hotay Hain

Laboun Pay Muskurahat Sajati Hoon

Is Zamanay K Her Shaks K Agay

Mai To Bus Muskurati Hoon

Jo Bholoun Beetay Lamhoun Ko

To Khud se Larti Jati Hoon

Phir Kuch Waqt K Bad Hi

Phir Se Khud Ko Samjhati Hoon

Chaltay Chaltay Tanha Yunhi

Mujhko Phir Se Kuch Yaad Aya

Akaili Chalti Galiyoun Main

Mai Phir Se Roti Jati Hoon

In Tanha Tanha Rahoun Per

Mai Aksar Socshti Jati Hoon

In Tanha Tanha...!!!




   "2 Ajnabi dost"
My life is empty without U

pagaL guriyA

[pagaL GurIyA]

chalo mai man laiti hoon

ye kehna b tumhara ab

k ye dunia buhat pyari hai

is ko jee ker zara daikho
suno..!!

aik baat kehti hoon

mujhay ruswa na kerna tum

jo mai na lout ker aon

kisi din na mil paon

meri khusbo na lehrae

in urti hawaon mai

ya barish buhat hi ziada ho

aur sb phr b murjae

to bus itna samjh laina

k tumhri is pyari dunia nay

mujhy koi Zakhm phr day dia...!!!


"2 Ajnabi dost"
WanTed LArkA

Cinderella

[ Cinderella ]


I'm standing on the stairs in a magnificent hall

Wearing the dress that I bought for the ball

It's long and flowing, sparkling white

My tiara of diamonds shines in the light

At the bottom of the stairs you're waiting for me

And I gracefully float down for all to see

You take my hand and touch my face

You're the only one I notice in the expansive space

We're now dancing in shadows of flickering light

Holding each other close, holding each other tight

You kiss my neck and then touch my face

Then kiss my lips in a loving embrace

Time stands still whilst we are together

Feels so good, it seems like forever

I look at the clock, that cannot be right

But the bells start to chime, confirming midnight

But there's no need to leave
From the ball tonight

I'll be with you my prince
For the rest of our life . . . /



"2 Ajnabi dost"
_-"FiNAL"-_
CH00MA Tha Kuch Is Tarah Se
Mery Labon Ko GurIyA Nay Akhri Bar,

k Jism Mai Zehar Bhi Phela DiYa
0r Maut Bhi Na Ai!..


"2 Ajnabi dost"
Romantic KiLLEr

Naye Deewano Ko

Naye Deewano Ko Daikhte Hain
To Khushi Hoti Hai...


GurIyA. . . /

.
Hum Bhi Aise The
JAb Naye Aay The 'Me-Khane Main...



"2 Ajnabi dost"
rOmAntic KiLLEr

MAJNU KA ISHQ

"MAJNU KA ISHQ"

Suna hai  Majnu ka Laila se ishq aisa tha
k wo us ka saya bhi dekh k lapakta tha

1 dafa Majnu ko Laila nazar ai
to wo us ki Taraf Diwana war bhaga
or

1 Namazi  k samnay se Guzar gya

Namazi  ko Ghusa aya
us ne  Namaz 'TOR'  k Majnu ko roka or kaha

Tum mere samney se kyun Guzrey
jab k mai Ibadat kr raha tha??

Majnu:  Main apni Laila k ishq mai
Tujhe  DEKH Naa saka,

pr Tera  Apny 'RAB' se  'KeSaa' ishq hai,
k tu Mujhe Dekh raha tha.????


"2 Ajnabi dost"
    FiNAL

Kuch Log Boht Yad aty Hen

Jb Yaad Ka
Angn Kholon to,

Kuch Log Boht Yad aty Hen,

Me guzry dino
ko Sochon to,

Kuch Log Boht Yaad aty Hen,

Ab Jany Kis Nagri Me, Soi Pari Hy Mudat Sy,

Me Raat Gaye Tak Jagon to,

Kuch Log Boht Yaad aty Hen,

Kuch Batein Theen Pholon Jesi,

Kuch Khushbo Jesy Lehjy thy,

Me
Sheher-e-Chaman Me Tehlon to,

Kuch Log Boht Yaad aty Hen,

Wo Pal Bhar ki Narazgiyan or
Maan B Jana pal Bhar Me,

Ab Khud Sy Jb b Rothoon to,

Kuch Log Boht Yaad ate Hen,



"2 Ajnabi dost"
WaNtEd lArkA

Dhalte Saaye Main


("*Ik Sham K Dhalte Saaye Main*")
Poet : JiNNU RidEr

Ik Sham K Dhalte Saaye Main

Wo Saamne Chup Chup Bethi Thi

Zuban Se ToO Khamosh Magar

Aankhon Se Sab Kuch Kehti Thi

Chaand Se Us K Chehre Par

Ik Ajab Udaasi Chaayi Thi

Jheel C Us Ki Aankhon Main

Ik Naee Umeed C Aayi Thi

Kuch Kehna Tha Us Ko Mujh Se

Jo Kehna Tha Na Keh Pai

Alfaz Na The Us K Paband

Ye Baat Batane Aayi Thi

Jo Kuch Bhi Us K Dil Main Tha

Main Bina Sune Hi Jaan Gaya

Us Ki Aankh K Aansu Ne

Har Baat Mujhe Batlaai Thi....'


"2 Ajnabi dost"
WaNtEd lArkA