abhi aap se share karna chahtA hon...
Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair ko Tay Hai
Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai
Anjam Hona Hai
Chaloo Mil Baith Kay
Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo
Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai
key Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai
Anjam Hona Hai
Too kyon Naa Kuch Shaam Say PehlayJo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koyee Daam Roshni Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain
Zara See Dair ko Tay Hai
Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai
Anjam Hona Hai
Is saal ne mujhay buhut kuch diya hai
buhut si yaadein jurdi hai..
woh sab tu main apni
next thread Main jo kay paya
takmeel tak pohanchnay hi wali hai
per bataongA..
filhaal kuch December per baat kar lete hai..
akhir Bidaayi bhi dhoom
Dham se honi chahiye..
Meri aik dost ne mujhay
Sharjah se likha hai...
Har December mujhay khat likhtay ho
kabhi achanak akar Mujhay
hairaan bhi Kardo
main ne kaha yaar
tum tu shayara ban gayi........
main ne jawabi ka
Ishaar likh bhejay the woh apki nazar
Iss baar december main
mujhey tum bohat yaad aaye
shaam dhaliy tamanna key
sarak par taheelty howe
kheza key sokhey pato par
chalty howe bareshe main
bhegtey howe,heejre key gum
seheety howe,aamawas
ki raat kaatey howe sardi ki
dhoop sengtey howe
share aakely parhty aur
samjhty howe raat der tuk jagtyhowe,
chand aur chandani ko taktey howe, khamoshe
sey ansoon bahaty howe,
aakely december banatey howe,
mujhey tum bohat yaad aaye.....................!
"2 Ajnabi dost"
dEfAULtEr