Feb 3, 2010

tujhey Kiya Mila...?

Dear

friends............. ...ye meri nAZAm
hai................. ...I HoPE
aaap ko pasand ajaye....aap logon k reply ka

Muntazir............ ..............JiNNU RidEr
==================== ==================== =======

$$$$$$$ tujhey Kiya Mila.....? ###########






tujhey Kiya Mila...?
Zara Ye Bata
Kisi Khokley Shakhs Ko Chahney Se
Kisi Aisey Shakhs Ko Chahney Se

tujhey Kiya Mila...?
K
Jo Zinda To Hai
Magar Zinda Nahi Lagta

Zindagi K Bisaat Pe Maat
Khaye Shakhs Se
Tujhey Kiya Mila...?


Tujhey Kiya Mila...?
Zara Ye Bata
Us Shakhs Ko Chahney Se
K Jis K Dil Mein Koi Armaan Nahi They
Jis ki Ankon Mein koi Khuwaab Nahi They

Jis K seeney se Dharkano Ki Awazein Ana
Ab Bund Ho Gaien Hain

Saansein to Chal Rahi Hain
Magar Hathon Mein Koi Jumbish Nahi


Tujhey Kiya Mila...?
Zara Ye Bata
Us Shakhs Se
Jis Ka Lahu Bhi Paani hai
Aur ab To Ye Lahu Bhi Shayad Ragon Mein Daor K
Thak Gaya Hai
Aur Jam Chuka Hai



Tujhey Kiya Mila...?
Zara Ye Bata
Us Shakhs Ko Chahney Se
K jis Ki Roh Bhi Ab Us K Wajood Se Nafrat
Karney Laga Hai
Aur Nikalney Ki Rah Dhoon Raha Hai





Aur Zameer............?

Wo To Kab Ka Mar Chuka Hai
Zinda Rehney K Liye Ghinaoney Samjhotey Kr
Chuka Hai


Aisey Bey-Zameer Shakhs Ko....
Bina Dharkey Dil Ko.....
Bina Roh K Jism ko...
Chahney Se Kiya Mila...?


Tujhey Kiya Mila...?


Us Siyah Bakht Se
Mohabat Kr K
K jisey Zindagi Mein Kuch Bhi Na Mila

Siwaaye Nafrat K............

"2 Ajnabi dost"
  i HAtE giRLzz 




(YE NAZM MAIN APNEY KISI CHAHNEY WALEY K NAAM KRTA HOON)

~* Dard Agar Aadmi hota ~*
















Dard Agar Aadmi hota....

To girebaan Pakar Kr Kehtay..!

Iss Tarah Rehtay hain...

Be-chain Dilon K andar....

Iss Tarah Katay hain..

Bee'maaron say....

Ham Tumhain Sehtay hain..

Kuch Tum bhi Sehna Seekho..!

Aik Thorri Si Khushi Aaye to,,,

Jal Jaatay ho...!!!
"2 Ajnabi dost"
  i HAtE giRLzzzzz
 

~ * zindgi k dafter meiN *~

j





















zindgi k dafter meiN,

kaghazoN taly dab kr,

reh gaye haiN kuch kaghaz,

aaj tak meri ghaflat ka

shikar haiN youNhi,

kam kuch zuroori sey,

an-kahi si kuch bateN,

kuch aham mukaqateN...

wo aham mulaqateN,

jin se munsalik haiN kuch

faisly zuroori se...

roz hi maiN kehta huN,

aaj aik ik kr k,

sary kam nimTa looN,

pr maiN kya karuN aakhir!

roz hi youN hota hay,

zindgi k daftar meiN,

ik naya zuroori kaam

mujh ko aan paRta hay,

aur ik naya kaghaz,

kaghazoN pe girta hay...!!!
"2 Ajnabi dost"
  i HAtE giRlzzzzz
 

*.*.* Woh aakhein! Meri toh nahi, *.*.*




















Woh aakhein!

Meri toh nahi,

phir bhi...

Woh jo kuch dekhti hain,

dekhti rehti hain...

Main bhi dekhta hoon,

dekhta rehta hoon...

Jis se rooth jaati hai......

Main us se rooth jata hoon...

Woh jis se pyaar karti hai...

Main us se pyaar karta hoon...

Woh aakhein!

Meri aakhien toh nahi,

phir bhi...

Woh jo kuch sochti hai,

sochti rehti hai...

Main bhi sochta hoon,

sochta rehta hoon...

Jis dum muskurati hai...

Main us dam muskurata hoon...

Woh jab Afsurda hoti hai...

Main bhi Afsurda hota hoon....

Woh aakhein!

Meri aakhein toh nahi ho sakti...

Magar phir bhi...

Deewana hoon jo unko...

Chahta hoon,

chahta hoon.....

Chahta rehta hoon!!!
 
 
"2 Ajnabi dost"
 i HAtE GiRlZzz 

*.*. MOHABAT*.*.


































***MOHABAT***


Batai Nahi Ja Sakti ???


Suni Nahi Ja Sakti ???


Dekhi Nahi Ja Sakti ???


Balkay


Yeh Tu!!!


"Dil"Ka"Dil"sy


Aur


"Sanson"Ka"Sanson"sy


wo"Khubsurat"Rishta hy


k Jab...


"Rab"Apny Bandy k Dil main,


Kisi k liyah is ko dal deta hy,


Tu wo is ko...


"Nayab"aur"anmol"kar deta hy,


AUR


Phir agar Banda apni us


Mohabat ko pa ly tu wo,


Mohabat us ko b "Anmol"


aur"Nayab"kar deti hy... 
"2 Ajnabi dost"
  i HAtE giRLzzzzz
 

Aik siyah til dekha



























Main nay us k hath ki lakeron main
Aik siyah til dekha
Aur usay bataya, ye Daulat ka til hay
Tumahray hathon main kitni Daulat hay
Us nay apnay dono hathon say
Mera chehra thaam kar kaha
Han ! Dekho meray dono hathon main
Kitni Daulat hay. . . . . . /




"2 Ajnabi dost"
  i HAtE gIRLzzzz

Jo Hum Mehsoos Kerte Hai



Jo Hum Mehsoos Kerte Hai

Agar Aap Tak Pohanch Jaye

Toh bas Itna Samajh Lena

Ye Un Jazbo’n Ki Khusbuu Hai

Jinhai’n Hum Keh Nahi Sakte

Magar Aap Jo Ijazat Do

Toh Chand Lafzo’n Main Keh Doon

K Aap Bin Jee Nahi Sakte …

K Aap Bin Jee Nahi Sakte …
 
"2 Ajnabi dOst"
i HatE dost 

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko






 




















Chalo Tum Chor Do Mujh Ko....
Mai wapis lout jata hon....
Tumhen manzil mubarak ho......
Naaei raahen mubarak hon....
Magar pher aey mere hamdam....
Mujhe itna to btla do...?
K wapis kis taraf jaon...?

Kahan se sath laey the...?
Mujhy itna to smjha do...!
Agar aesa nhi mumkin....
To mujh ko es tarhan toro....
K mai yakser bikhar jaon....
Bhtakney se to behtar hai....
Tumhare Pass Mar Jaon....

K Mitti Bhi Nahi Aur Dikhti Bhi Nahi























Usne Raat K Andheray Mein,
Mere Haath Ki Hatheli Pe,
Likha Tha Apni Ungli Se,
Mujhe Pyaar Hai Tumse,
Janay Kaise Siyaahi Thi Woh,
K Mitti Bhi Nahi Aur Dikhti Bhi Nahi.......!!!!



"2 Ajnabi Dost"
i HaTE GirLzzzzz 

Yeh Lerki to ph0ol se mukhtalif he

Yeh Lerki to ph0ol se mukhtalif he

Aadhi mohabbat mere saamney,

Aur

Aadhi mohabbat mujhse chhup ker kerti he

Aadhi raat ko Aadhey Chaand se
Baatain kerti rehti he

Woh batain. .

Jo mujhse kerte Uskey Hont Aur uski Saansain Ruk jaati hain

Uski Palkain Jhuk jati hain

Aadhi Raat ko Takiye K neeche
Rakhi meri tasveer ko dekhti rehti he

Phir Khud se sharma ker

Takiye mai m0nh chhupa ker

Dair tak Hansti hy.


"2 Ajnabi dost"
  i HAte GirlZ

thakk gai meri zaat hey

Thakk Gai

thakk gai meri zaat hey,
bardasht nahi,
nidhaal hoon.

inteezar hai faqat itna,
bhoje ga kabh chirag-e-zindagi!

ke khatam hain sabh aanso,
nahi hey baqi aas abh.

manzalain sabhi hain kho chukin,
umeedain hain sabhi totti hoin.

bewafai ke bojh talay,
dabb chuke hain sabhi aarman merey,

sabh sapney hain abh bikhar gaye!
par chukki hein dararain abh
dil ke darro-deewar pe.

gila nahi kisi se abh,
afsos hai bas itna!

maana merey wajood ne,
toofan ko sahara-e-zindagi 


"2 Ajnabi dost"
 BARdaaasHT

USS KI HATHEYLI PAR MEREY AANSOO

USS KI HATHEYLI PAR MEREY AANSOO

KITNEY ACHEY LAGHTEY HAIN

JAISEY SUBHAH SAVEREY KANWAL KI PANKRRIAH

SHABNAM SEY JAGMAG KARTHI HON

TAB AISEY MEY KHUSHBOO DHEEREY DHEEREY

TAN MEY PHEHLNI HEY

AUR SHABNAM PHOOL K RANG MEY AAKHIR

RANG JAATI HEY

TAB NANHEY CHIRAAGHOH KI LAO BHARRTHI HEY

TOU USS KA CHEHRA PEHLEY SEY BHARRH KAR

ROSHAN LAGHNEY LAGHTA HEY

USS KI AANKHOH MEY MEREY AANSOO,

KITNEY ACHEY LAGHTEY HAIN.!!!



"2 Ajnabi dost"
 I HaTe GiRLz

Mujhe Tum..YAAD ATAY HO

 

Zara Thero...
"Chalay Jana",

Mujhe Kuch..
"Tum Se Kehna Hai",

Zadha..
"Waqt Nahi Loonga",

Zara Si..
"Baat Karni Hai",

Na Dukh..
"Apnay Sunanay Hain",

Na Koi..
"Faryaad Karni Hai",

Na Ye..
"Maloom Karna Hai",

K Ab..
"Halat Kaise Hain",

Tumharay..
"Humsafar Thay Jo",

Tumharay,
"Sath Kaise Hain",

Na Ye..
"Maloom Karna Hai",

Tere..
"Din Raat Kaise Hain",

Mujhe Bas..
"Itna Kehna Hai",

Mujhe Tum..
"YAAD ATAY HO",

"Buhat Hi Yaad Atay Hooo......!!!!"



"2 Ajnabi dost"
  I HAte GiRLz
 

Ay ishq humein barbaad na kar

Ay ishq humein barbaad na kar

Ay ishq na chaiR aa aa ke humein, hum bhoole hu'on ko yaad na kar
Pehle hee bahut na'shaad hain hum, tu aur humein na'shaad na kar
Qismat ka sitam hee kam nahii kuch, ye taaza sitam eejaad na kar
Yoon zulm na kar be'daad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Jis din se mile hain dono ka, sub chain gaya aaraam gaya
Chehron se bahaar-e-subah gaii, aankhon se farogh-e-shaam gaya
Haathon se khushii ka jaam chuta, honton se hansii ka naam gaya
Gamgeen na bana na'shaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Raaton ko uth uth rote hain, ro ro ke duaaein karte hain
Aankhon ma tasavvur, dil ma Khalish, sar dhunte hain, aahein bharte hain
Ay ishq ye kaisa rog laga, jeete hain na zaalim marte hain
Ye zulm to ai jallaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Ye rog lagaa hai jab se humein, ranjeeda hoon ma beemaar hai wo
Har waqt tapish, har waqt khalish, be'khwaab hoon ma be'daar ha wo
Jeene se idhar be'zaar hoon ma, marne pe udhar tayyaar hai wo
Aur zabt kahe fariyaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Jis din se bandha hai dheyaan tera, ghabraaye huye se rehte hain
Har waqt tasavvur kar kar ke, sharmaaye huye se rehte hain
Kumhlaaye huye phoolon ki tarah kumhlaaye huye se rehte hain
Paamaal na kar, barbaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Be'dard zara insaaf to kar, is umr ma aur maghmoom hai wo
Phoolon kii tarah naazuk hai abhi, taaron kii tarah masoom hai wo
Ye husn sitam ye runj ghazab, majboor hoon ma mazloom hai wo
Mazloom pe yoon be'daad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Ay ishq Khudaa'ra daikh kahiin, wo shokh haseen bad'naam na ho
Wo maah-e-laqa badanaam na ho, wo zohra jabeen bad'naam na ho
Naamoos ka us ko paas rahe, wo parda nashiin bad'naam na ho
Us parda nasheen ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Umeed kii jhoothii jannat ke, reh reh ke na dikhla khwaab humein
Aainda ke farzii ishrat ke, waade se na kar be'taab humein
Kehta hai zamaana jis ko khushi, aatii hai nazar kaam'yaab humein
ChoR aisii khushii ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Kya samjhe the aur tu kya nikla, ye soch ke hee hairaan hau hum
Hai pehle pehal ka tajruba aur kam'umar hain hum, anjaan hain hum
Ay ishq khuda'ra rehm o karam, ma'soom hain hum, nadaan hain hum
Nadaan hain hum, na'shaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Wo raaz hai ye gham aah jise, paa jaaye koii to khair nahii
Aankhon se jab aansoo bahte hain, aa jaaye koii to khair nahii
Zaalim hai ye dunya dil ko yahaan, bhaa jaaye koii to khair nahii
Hai zulm magar faryaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Do din hee ma ehad-e-tiflii ke, masoom zamaane bhool gaye
Aankhon se wo khushiyaan mit see gaein, lab ke wo taraane bhool gaye
Un paak behishtii khwaabon ke, dil'chasp fasaane bhool gaye
Un khwaabon se yoon azaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Us jaan e haya ka bus nahi kuch, be'bus hai paraaye bus ma hai
Be'dard dilon ko kya hai khabar, jo pyaar yahan aapus ma hai
Hai be'busi zeh'r aur pyaar hai rus, ye zeh'r chupa is rus ma hai
Kehti hai haya faryaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Aankhon ko ye kya aazaar hua, har jazb-e-nihaan par ro daina
Aahang-e-tarab pe jhuk jaana, aawaaz-e-fughaan par ro daina
Barbat kii sada par ro daina, mutrib ke bayaan par ro daina
Ehsaas ko ghum bunyaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Har dam abdi raahat ka samaan dikhla ke humein dil'geer na kar
Lillah hubaab e aab e rawaan par naqsh e baqaa tehreer na kar
Maayoosi ke ramte baadal par umeed ke ghar ta'meer na kar
Ta'meer na kar, aabaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Jee chaahata hai ik doosre ko, yoon aath pehar hum yaad karein
Aankhon ma basaaein khwaabon ko, aur dil ma khayaal aabaad karein
Khilwat ma bhii ho jalwat ka saamaan, wehdat ko duii se shaad karein
Ye aarzooein eejaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar

Dunya ka tamaasha daikh liya, ghamgeen sii hai be'taab sii hai
Umeed yahaan ik weham sii hai, taskeen yahaan ik khwaab sii hai
Dunya ma khushii ka naam nahii, dunya ma khushii naa'yaab sii hai
Dunya ma khushii ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar



"2 Ajnabi dost"
  BARdaasTh