Jun 16, 2010

Paanchvii'n SaaLGiraH

[ JudaaYi Ki Paanchvii'n SaaLGiraH ]

Jii main he


Aaj ki shab us kay liye jaag kay kati jaaye


w0h jo aankh0n say paray

Ajnabi dais ki gum'naam hawaoon main baithi he ..


kiYa mohab'bat kay liye yeh bhi zaroori he

keh main ~~
us kay chehray ko

khad-o-khaal main la kar daikh0n ??


sach to yeh he

keh mujhay yaad nahi,
kay uski jabeen kaisi thi ??

hoont kaisay thay !!
badan kaisa tha !!
aankhain kaisi thii'n !!


Bas ~~ yeh yaad he

keh w0h

jaisi nazar aati thi

us say kahii'n achi thi ..


( yeh maah-o-saal ka toofaa'n bohat zalim he.
w0h agar pass bhi hoti to kisay khabar he kaisi hoti !! )


y0n to har raat

Mere dil par giraan guzarti he

phir bhi aey bhoolay h0we !!

Tu hi bata

Gham ki zanjeer bhala

jagtay,, s0chtay rehnay say kahan kat'ti he !!


Yeh jo aahat si abhi
nikhat-e-gul ki tarah phaili he

Tere qadmoon ki sadaa lagti he ..


Jab kabhi koi jahaaz

Yaad ki shamma liye

Gham ki be'chain hawa0n say guzarta he


Toh dil

shaam-e-furqat ke tasavvur say laraz uthta he..


Shaam-e-furqat !!

Jo haqeeqat he

Magar ~~ khwaab numa lagti he ..


Chaand jab abar ke tukroon par safar karta he

Toh y0n lagta he !!

Mai bhi ik abar ka tukra h0n

Jisay ~~
tera visaal ,,
tera ik lamha-e-visaal

daaimi hijr ke

undooh-e-musalsal kay aevaz baar nahi ..


Aey mujhay abar kay tukrray ki tarha choor kay janay walay !!


Tere bakhshay howay lamhay kay aevaz

kiYa mujhay daina paDa

is say sarokaar nahi !!


" Paanchvieen SaLGirah JudaaYi ki " ~~
Aaj manaoon shab bhar ..


Shaam-e-furqat ki tarah ~~
ashk baha0n shab bhar ..


Phir !!

Airport ki raiLing par

tika kay kohni

Tere rukhsat ka samaa'n

Dihaan main laoon shab bhar ..


Tu jo roti h0wi aankh0n say paray

Ajnabi dais ki gum'naam hawa0n main kaheen baithi he . . . /



"2 Ajnabi dost"
MiSSinG U GurIyA

Kaha Us NAy. . .

Ek Dukh Se Bhari Yaaad

Kaha Us NAy. . . 

Zara Tehehro!

"mujhe kch Sochne To Do"
Main Ab tak Sochta Hon Is K baray MAy 

K


Us NAy Q kAhA Tha Yu



Uski Umar May Socha Nahi KAarte. . . / 


'2 Ajnabi dost"
WaNtEd LaRkA

ANNA

''ANNA Ka Masla DarPaish Hai. . . .
Warna 
Haqiqat May Usay Meri Or

Mujhe os ki Kami Mehsoos Hoti hai. . ./



'2 Ajnabi dost'
mIssiNg U GurIyA