Nov 22, 2009

Jaisi Bhi Hon


"2 Ajnabi dost"

 LOVE's PAIN

Ghum Se Pthar Hogiya


"2 Ajnabi dost"

 LOVE's PAIN

Tum Se

"2 Ajnabi dost"
 LOVE's PAIN

YA DUA HAY>............/


"2 Ajnabi dost"
LOVE's PAIN

Ayyy Chand


"2 Ajnabi dost"
 Silent Tears

Ham Aaj Saath Saath Nahi


Ham Aaj Saath Saath Nahi Chaand Raat Hai
Tere Khyal Saath Hain Aur Chaand Raat Hai

Kal Saath The To Chaand Na Tha Phir Bhi Khush The Ham
Tere Bina Udaas Hain Aur Chaand Raat Hai

Ik Roz Chaand Idd Ka Tha Chhat Pe Dekhati
Tune Kaha Tha Aaj To Mil Chaand Raat Hai

Dil Ka Har Ek Zakhm Hai Hara Chandni Me Aaj
Jo Tu Nahi To Khak Bas Ye Chaand Raat Hai

Dil Pe Navazishen Thin Teri Chandani Si Hi
Har Raat Hi Lagti Thi Jase Chaand Raat Hai

Saare Hi Hain Chhat Pe Khade Dekhate Hain Chaand
Mera Hi Chaand Saath Nahi Chaand Raat Hai!!!!!!!!!!!!!!



"2 Ajnabi doSt"
 Silent Tears

A Beautiful Poem On Eid

A Beautiful Poem On Eid

__________

Ab ke Phir Eid Ka Din Aa Puhncha hai
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai

chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed
her Kiran hath main thamay ayee
Chand nikla hai…
mager hasrat se…

Chand ki simat meri ankhien taki jati hain
chand akash se takta hai mager…Ankh chura laita hai
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban
us se dekhi nahi jati shayad
meri go-yaee maira sath nahi de pati

ke main us se teri babat pochoon
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se
Janne kion tall raha hai yeah sawal

kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi
Eid Ka Lamha…Wasaal….
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala???
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi…
ik Aur naya din ho gi????

din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien
Durd ko aur jaga detien hain
Karab ko aur bharha detien hain

Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli
Akhri Saans ki hud per puhnchi
Meri umeed ke saray jugnu
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain
Hont hansnay ke huner se Aari
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda

Ankh se khawab alag
mar gaye harf-e-dua
toti sansoon ke hontoon per
Faqat Sard See …Aaah
Dobtay dil se bikherti See Sada Ati hai

Kash…. Aye Kash…. Ke yeah eid Ka Chand
apnay hathoon yeah sandes deta
mujh se kehta ke huwa hijer tamam
Aye mairay chand teri Eid ki shab mairay naam
Ab Faqat mairay naam

kash yeah sandes millay
Kash….
neelay Akash Pe nikla hai abhi Eid ka chand
Dil ke Akash Pe dobay ga abhi eid ka chand
dil ke akash se totay ga abhi Eid ka chand




"2 Ajnabi dost"
  Silent Tears

tum phiR aaye ho!


tum phiR aaye ho!
mujh sey kitaab maango ghay paRhnay k liye
shoq sey ley jao
magaR!
itna khayal Rakhna
ab!
meRi kitaab mein
koi phool band kaR k mat bhejna
main sehmay huay Rishto'N sey daRti hoon
mujhe majbooRiyo'N k bojh talay dabay
ghutay ghutay sey taluq paRayshan kaRtay hain
mujhe lafzo'N k daRmiyan band kitaab mein
kaghazo'N ki deewaR sey lagay
Reshmi jazbo'N ka koi akas mat bhejna
meRi kitaab mein
koi phool Rakh Kar mat bhejna...!!!



"2 Ajnabi dost"
Silent Tears

Ye hum tasleem kartay hain


Ye hum tasleem kartay hain

Hamein fursat nahi milti

Magar

O Meri soch ke Mehvar!

Kabhi ye bhi zara socho

Keh

Tumhein hum yaad karte hain

To khud ko bhool jatay hain



"2 Ajnabi dost"
Silent Tears

Aankhain