FRODi LARkA
when 'I' is replaced by 'We'.. even 'Illness" becomes "wellness"!!! :))
Nov 12, 2009
Apna Gher
zindagi k rasto'n mein
itni gard uthti hai
faasilay sey dekhain to
kuch nazar nahin aata
manzilo'n k chehray bhi
raah ki nishaani bhi
seb hi doob jaatay hain
gard k samunder mein
dard k samunder mein
raasta nahin milta
faasila nahin ghat-ta
jis jagah sey niklay thay
hum safar k rasto'n per
wahan pohnch k dekhain to
har taraf udaasi hai
har taraf andheyra hai
kuch nazar nahin aata
bey nishaan rasto'n mein
waahmay to aatay hain
apna gher nahin aata...!!!
uNiQuE sMiLe
zindagi k rasto'n mein
itni gard uthti hai
faasilay sey dekhain to
kuch nazar nahin aata
manzilo'n k chehray bhi
raah ki nishaani bhi
seb hi doob jaatay hain
gard k samunder mein
dard k samunder mein
raasta nahin milta
faasila nahin ghat-ta
jis jagah sey niklay thay
hum safar k rasto'n per
wahan pohnch k dekhain to
har taraf udaasi hai
har taraf andheyra hai
kuch nazar nahin aata
bey nishaan rasto'n mein
waahmay to aatay hain
apna gher nahin aata...!!!
uNiQuE sMiLe
"2 Ajnabi dost"
Me & YOU
Tum Bilkullllll mere jaise ho
Tum Bilkullllll mere jaise ho
Jis din se tum ko dekha hai
Main aksar socha karta hoon
Tum kaise ho tum kaise ho
Tum Phool ho ya Qos -o- Qazah
Tum Chaand sitaron jaise ho
Tum ujli Dhoop ho Sarma ki
Ya Rim Jhim ka mausam ho
Tum kaise ho tum kaise ho
Kal raat main bilkul tanha tha
Kal raat yeh mujh per bhaid khula
Main Jaan geya main Maan geya
Tum kaise ho tum kaise ho
Tum mere Dil main Rehte ho
Tum Bilkullllll mere jaise ho
Jis din se tum ko dekha hai
Main aksar socha karta hoon
Tum kaise ho tum kaise ho
Tum Phool ho ya Qos -o- Qazah
Tum Chaand sitaron jaise ho
Tum ujli Dhoop ho Sarma ki
Ya Rim Jhim ka mausam ho
Tum kaise ho tum kaise ho
Kal raat main bilkul tanha tha
Kal raat yeh mujh per bhaid khula
Main Jaan geya main Maan geya
Tum kaise ho tum kaise ho
Tum mere Dil main Rehte ho
Tum Bilkullllll mere jaise ho
"2 Ajnabi dost"
ME & YOU
ME & YOU
Yehi Wadah Liya tha
Yehi Wadah Liya tha
K hamesha Khush rehna
Toh dekhoooo
Meri aankhoon ko dekhoo
Yeh kitni Shokh hain
Mere Honthoon ko dekhoo
Hamesha Muskuratey hain
Koi bi ummm agar aaya
Ousey Hass k saha Main ne
Mere Chehrey ko dekho Tum
Hamehsa Pursakunn ho ga
Toh Sochooo K kiya tha
Main ne jo tum sey wada
Woh pura kar diya
Magar
Aik baat hae
Kabi jo waqt Mill jaey
Toh
Meri Shairey pharna
Tumhain mehsuos ho ga
Kehein Talkhii bhara lehja
Kehein Pe sard sa Lehja
Kehein Pe Dard ki Jhilain
Kehein Lehjey ki Karwahat
Sunoooo ..... !
Main Khush Toh Hun
Lekin
Mere Lahoo ka Har Lafaz Bolta hae
-------------------------------------------------
"2 Ajnabi dost"
ME & YOU
meri jaan theek kehti hoo
meri jaan theek kehti hoo
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahi hongi
kubhi barish kai mosam main
humaisha sath raihnay ki
ju khowahish dil main jagi thi
ju sapnay hum nay daikhay they
wo sapnay toot jaeingay
meri jaan theek kehti ho
moqader kai likhay ko hi ager tasleem kerna hay
tu phir aisi mohabbat ka
koi bhi faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu meri baybassi keh lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay "
"2 Ajnabi dOst"
ME & YOU
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahi hongi
kubhi barish kai mosam main
humaisha sath raihnay ki
ju khowahish dil main jagi thi
ju sapnay hum nay daikhay they
wo sapnay toot jaeingay
meri jaan theek kehti ho
moqader kai likhay ko hi ager tasleem kerna hay
tu phir aisi mohabbat ka
koi bhi faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu meri baybassi keh lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay "
"2 Ajnabi dOst"
ME & YOU
"Mein Diya Hoon"
"Mein Diya Hoon"
Main Diya Hoon Toote Mazaar Ka
Sar Shaam Kiss Ne Jala Diya
Teri Berukhi Adaoon Ne
Mujhe Zarra Zarra Bana Diya
Nai Manzalon Par Pohanch Kar Bhi
Yahi Sochti Hoon Ke kis Tarah
Kin Rastoon Pe Mile The
Kin Raston Ne Bichaar Diya
Yeh To Apna Apna Naseeb Hai
Koi Mil Sake Ya Na Mil Sake
Na Ho Gham Zada Dil Maharbaan
Phir Kya Howa Jo Bula Diya
Mera Hum Safar Zara Soch Ley
Tera Ratoon Ka Khalus Honn
Tera Samne Jo Bicha Diya
Rahey Umar Bhar Jisey Dondatey
Who Mila To Usse Ghawa Diya
Mera Harsatu Ke Mazaar Par
Tera Senkaru Se Sawaal Hai
Tujhe Rook Kar Itna Bataye Ge
Yaha Kis ne Kis Ko Bula Diya
Sar Shaam Kiss Ne Jala Diya
Teri Berukhi Adaoon Ne
Mujhe Zarra Zarra Bana Diya
Nai Manzalon Par Pohanch Kar Bhi
Yahi Sochti Hoon Ke kis Tarah
Kin Rastoon Pe Mile The
Kin Raston Ne Bichaar Diya
Yeh To Apna Apna Naseeb Hai
Koi Mil Sake Ya Na Mil Sake
Na Ho Gham Zada Dil Maharbaan
Phir Kya Howa Jo Bula Diya
Mera Hum Safar Zara Soch Ley
Tera Ratoon Ka Khalus Honn
Tera Samne Jo Bicha Diya
Rahey Umar Bhar Jisey Dondatey
Who Mila To Usse Ghawa Diya
Mera Harsatu Ke Mazaar Par
Tera Senkaru Se Sawaal Hai
Tujhe Rook Kar Itna Bataye Ge
Yaha Kis ne Kis Ko Bula Diya
"2 Ajnabi dost"
ME & YOU
Subscribe to:
Posts (Atom)