Dec 17, 2009

Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,





Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,
Teri Yad Dil Se Mita Na Sakeingay...


Sapno Ki Nagri Woh Pariyon Ka Daira,
School Ki Yaon Mein Sadiyon Ka Phaira,
Woh Bachpan K Din Woh Mosam Suhanay,
Woh Desk Bajana Woh Ganay Sunana,

Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,
Teri Yad Dil Se Mita Na Sakeingay...


Guzar Gaye Sab Din Hanstay Hansatay,
Gaatay Bajatay Picnic Manatay,
Woh Teacher Se Chupna Woh Principle Se Chupna,
Yeh Sab Baat Dil Se Bhula Na Sakeingay,

Aye School Tujhay Hum Bhola Na Sakengay,,
Teri Yad Dil Se Mita Na Sakeingay......!!!


"DEDICATED TO ALL SCHOOL LIFE.....!!!"
 
LovE's pAin

Muhabbat jin se hoti hai


Muhabbat jin se hoti hai



Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka der her waqt DAMAN GEER rahta hai
Yaqeen ki akhri manzil pe aa kar bhi
Koi khadsha, koi shak, koi andesha
Buhat bechain rakhta hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kahin yeh visaal ke lamhe
Badal jayain na furqat main
Kahin ye qurb ki gheriyan
Judai main na dhal jayain
Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de
Kahin aisa na ho k
Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawan samjha
Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raigaan kar de
Kahin aisa na ho k
Wo meharbaan ankhain badal jayen
Kahin aisa na ho k
Ye garamjoshi sard par jaye
Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish
Yakh basta ho jaye
Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare
Aur dil ka dard ban jaye
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi
Agar nazrain churaye tou dil pe thees lagti hai
Ansoo’n ka mena barasta hai
Kabhi masrofiat mai, mahwiyat main
Phone ki ghanti ka wo notice na le
Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye
Dharak uthta hai dil
Kya janiye kya ho gaya us ko
Tawajja main kami kyun agai…?
Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?
Jo apna is qadar apna tha
Akhir kyun paraya hai..?
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

SAANS LEHNE KE LIYE WAQT NEHIN


SAANS LEHNE KE LIYE WAQT NEHIN


Har Khusi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ekk Hansi Ke Liye Waqt Nehin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindegi Ke Liye Hi Waqt Nehin.


Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nehin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhen Dafnane Ka Bhi Waqt Nehin.


Saare Naam Mobile Mein Hai,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nehin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Waqt Nehin.


Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nehin.
Dil Hai Gaamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi waqt Nehin.


Paison Ki Daud Mein Aise Daude,
Ki Thakne Ka Waqt Nehin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Bhi Waqt Nehin.


Tu Hi Baata E Zindegi,
Iss Zindegi Ka Kya Hoga,
Ki Har Paal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nehin....... ......
 
 
"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

Itna Waqt Kyun Lagta Hai

Itna Waqt Kyun Lagta Hai







Khushi Jo Nazar Main Nahi Hai
Par Samakash Khari Hai
Us Ko Prateet Honay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai?




Gham Jo Nazar Main Ade Hain
Per Dorr Kharay Hain
Unko Andekha Honay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai?




Khushi Main Zindagi Hai
Zindagi Main Ghum Hai
Yaani Khushi Ghum Say Bari Hai
Pher Aanso'oon Ko Sukhanay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai?




Muskuranay Kay Liye Kyun Waja Dhoondtay Ho?
Jab Aansoo Bina Puchay Galoon Pay Lurak Jatay Hain
Jeena Shuroo Karo Tu Zindagi Bohat Lambhi Hai
Subkiyoon Say Khilkhilahat Bari Hai
Gehri Hai Mager Aah
Tu Muskurahat Aasan Hoti Hai
Phelana Tu Shoro Karo
Yeh Lakeer Bohat Dorr Tak Jati Hai
Tumhara Cheray Say Ho Kar
Kese Kay Dil Main Utar Jati Hai
Kese Ke Nazar Main Bas Jati Hai
Per Tumhay Us Aah Ke Aawaz Mitanay Main
Itna Waqt Kyun Lagta Hai.???

"2 Ajnabi dost"
   LovE's PaiN

Aur waqt thhum saa guya

Aur waqt thhum saa guya




Khuda ki ibaadat ki daggar,
Ik andekhi raah ka safar,
juzbaate bandagi ka ehsaas,
Junun-e-parastish ki intehaa,
Aur waqt thhum saa guya,

Muhabbat ki baahon ke gheyre,
Mudmast si aankho ke deyre,
Ishq ka anokha thha assar,
Yeh kaisi khushnuma si jannat,
Aur waqt thhum saa guya,

Yarub teri chaahat ki tarrap,
Mehkatte khwaabo ki kassak,
Nasheele honthon ka ehsaas,
Behkatte saanson ka toofaan,
Aur waqt thhum sa guya,

Ishq ka khoobsoorat nazraana,
Chherh ke dillon ka afsaana,
Behkatte armaano ka woh silsila,
Kub na jaane kidhar kho guya,
Aur phir yeh waqt jo thumma...

To ta-qayaamat thhum hi guya...
haan haan
ta-qayaamat thhum hi guya...
 
 
"2 Ajnabi dost"
 LovE's PAin

Mein Tujhay Uss Waqt Yaad AaooNga.



Mein Tujhay Uss Waqt Yaad AaooNga.

Jab Samandar May Chaand Utray Ga
Koe Tara KaheeN Pay Tootay Ga
Raat Ki Surd Si HawaooN May
Koe Baadal KaheeN Pay Bersay Ga.

Tery Chehray Pay Mah_o_Saal Ka Rang
Jaal ShiknooN Ka B�un Chukka Hoga
Tery HathooN Ki Sub LakirooN Kay
Faisaly Waqt Ker Chukka Hoga

Mein Tujhay Uss Waqt Yaad AaooNga.

Jab Tery Roop Ki Chandi
Waqt Ki Dhoop May Pighal Chukki Hogi
Jab Teri Aankh Say SitarooN Ki
Rooshni Bhi Nikal Chukki Hogi

Jab Tery Gird Hujoom_e_YaraaN May
Tera Talib Koe Na Theray Ga
Aur Koe Deed Ka Tamanai
Teray Pehlo May Aa Na Baithay Ga

Mein Tujhay Uss Waqt Yaad AaooNga.

Chandni JaN Jala_ay Gi
Teri Tenhai Tujh Ko Kha_ay Gi
Khud Ko Dhoondo Gay Meri NazmooN May
Mujh Ko Dhoondo Gay Apni ShamooN May


Mein Tujhay Phir Bohat SataooNga
Mein KaheeN Bhi Nazar Na AaooNga


Mein Tujhay Uss Waqt Yaad AaooNga.



"2 Ajnabi dost"
  LovE's Pain

Dakho waQt guzar jay ga


Dakho waQt guzar jay ga
Tm ne jis sy
Ju kuch b kahna hai kah lo
Yun na ho k
Ab k ju tm bichro tu kuch aisy bichro
Jaisy do anjan musafer
Ek anjan station pe
Ek dojay sy mil kar bichrain or kho jayn
Tm kya tabil pe bathay soch rahay ho..
Dakho waQt guzar jay ga..,



"2 Ajnabi dost"
   LovE's PAin

" WAQT NAHI "

" WAQT NAHI "




Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi....
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi .

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi....

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Kia Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi......... 



"2 Ajnabi dost"
   LovE's PAin

WAQT mila tou souchengey....


WAQT mila tou souchengey....


kiyoo'n tum achey lagtey ho
waqt mila tou sochai'n gey
tujh men kia kya dekha hai
waqt mila tou sochai'n gey

sara sheher shanasai ka daweydaar tou hai lekin...
kon hamara apna hai Waqt mila tou sochai'n gey

mousam
khushbu
baad e saba
chand
shafaq or taaron men

kon tumharey jesa hai
waqt mila tou sochai'n gey

men ne tum ko likha tha
kuch milney ki tadbeer karo

tum ne likh kar bheja hai
WAQT mila tou souchai'n gey....
 
 
"2 Ajnabi dost"
 LovE's Pain

kabhi waqt millay to aa jao


kabhi waqt millay to aa jao



kabhi waqt millay to aa jao
hum jheel kinaaray ja baithai'n
tum apnay sukh ki baat karo
hum apnay dukh ki baat karai'n
aur un lamhoo'n ki baat karai'n jo sang tumharay beet gaye
aur ehad-e-khizaa'n ki nazar huway
in sabz rutoo'n kay daaman mai'n
hum pyaar ki khusboo mehkaai'n
in bikhray sabz nazaroo'n ko
hum aankhoo'n mai'n tasweer karai'n
phir apnay pyaar kay jaadoo say
hum lamhoo'n ko jageer karai'n
kabhi waqt milay to aa jao
hum jheel kinaray ja baithai'n


"2 Ajnabi dost"
 LovE's PAin

waqt


waqt

kabhi waqt milay tu a jao
ham jheel kinaray ja baithein
tum apnay sukh ki baat karo .
ham apnay dukh ki baat karein
aur un lamhon ki baat karaen
ju sang tumhary beet gaey
aur ehd e khizan ki nazar huway
ham shehr e khuwab k basi
tum chand sitaron ki malka
kabi waqt milay tu a jao
ham jheel kinaray ja beithein
in sabz ruton k daman mein
ham p yar ki khusbo mehka'en
in bikhray sabz nazaron ko
ham ankhon mein tasveer karein
pathar pei girtay pani ko
ham khuwabon sai tabeer karein
iss waqt k dobtay soraj ko
ham chahat ki jageer karein
pher apnay pyar k jado sai
ham lamhon ko zanjeer karein
kabhi waqt miley tu a jao !!!



"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

KITNE LOG HAIN MERY




KITNE LOG HAIN MERY MILNY WALY
MERY CHAHNY WALY
MERY SANG HASNY WALY
PHIR B
JANY KIYUN
KOI
B

"TUM SA NAHI"


"2 Ajnabi Dost"
    LovE's PAin

Kaha ussnay


Kaha ussnay
Tab waqai mujhey tum sey muhabbat thi
Kaha mainay
Main tu ab bhi tum sey muhabbat kerta hoon
Woh tab kii baat kerti hai
Main ab ki baat kerta hoon
Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai
Woh hum donno se mil ker bhi samaita jaa nahi sakta
Woh ab tak aa nahi saki
Main tab ko paa nahi sakta 



"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin

Agar tum aaiina daikho



Agar tum aaiina daikho

Agar tum aaiina daikho
To apne aap se nazrein churaa laina
Ke aksar be'wafa logon ko
Jub wo aaiina daikhein
Aankhein chor lagti hain
 
"2 Ajnabi dost"
 LovE's Pain

wO aaDmi HAi Aam sA

wO aaDmi HAi Aam sA
Ek AisSa nA'TamAm sA
nA LeHJa Be'MisAL HAi
nA BaAt Mein KamAL HAi

HAi DekHNe Mein Aam sA
uDaSsi Ki sHaAm sA
JaisE K Ek RaAz HAi
wO kHuD sE Be'NiAz HAi

nA MeHJaBinOun sE RaBt HAi
nA sHoHRatOun kA kHaBt HAi

RanjHA , nA Qais HAi kOi
InsHA , nA Faiz HAi kOi
wO pEkAr-e-iKHLas HAi
Wafa DuA Aur Aas HAi
wO sHakHs KHuD sHanAs HAi

Tum Hi KarO YeH FaisLa
wO AaDmi HAi Aam sA
Ya pHir BoHat KHas HAi



Your Attitude can Hurt ME
but MINE can Even Kill you


Tum jo pal ko thehar jaao


Tum jo pal ko thehar jaao to ye lamhey bhi
Aaney walay lamhooN ki amanat ban jaaeiN
Tum jo thehar jao to ye raat, mehtaab
Ye sabzaa, ye gulaab aur hum donoN ke khwaab
Sab kay sab aisay mubham hooN ke haqeeqat ho jaaeiN
Tum thehar jao kay unwaan ki tafseer ho tum
Tum say talkhi-e-auqaat ka mausam badley
Raat to kia badlay gi, haalaat to kia badleiN gay
Tum jo thehar jaao to meri zaat ka mausam badley
MeherbaaN ho ke na thehro to phir youN thehro
Jaisay pal bhar ko koi khwaab-e-tamanna thehrey
Jaisay darwaish-e-madaa-nosh kay pyaalay meiN kabhi
Aik do pal ke leeyay talkhiy-e-dunya thehrey
Thehar jaao kay madaarat maey-khaaney se
Chaltey chaltey koi aik-aadh subho ho ja'ay
Is sey pehley kay koi lamha-e-aainda ka teer
is tarha aa'ay kay pevasta-e-gulu ho ja'ay!!!



"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin