Dec 9, 2010

Guzara kar raha h0n main

Usay maine yeh Likha tha

Suno aey jaan se piyaari GurRiya !!!

Tumhain maloom hi h0ga

tumhare bin to ab mera guzara h0 nahi sakta..

Tadapta h0n judaayi mai

Mager,,

yeh be’basi kesi !!

Keh

mei khuL ke r0o nahi sakta..

Mere A’asaab peh Haawi
tumhari yaad ka pehra

Main shab ko soo nahi sakta..

Suno GurRiya !!

Koi rasta,
k0i tadbeer ho aesi

keh dil k chaak siL jaayain

Judaayi mai wafaa0n k kahii peh GuL jo khiL jayain

hum phir ik baar mil jaayain..

Jo ab GurRiya ne Likh bheja

aey meri jaan se barh kar !!

Yeh mera aakhri khatt he..

Yeh mana he boht mushkil

mager !!

Dekho meri khaatir tumhain har haal mai

mujhse kinara karna hi h0ga..

Koi tadbeer bhi ab k

hamare bas se baaher he..

Jo dil k chaak hai janaa’n

yeh phir se siL nahi sakte

judaayi mei wafaa0n k kabhi guL khil nahi sakte

sun0 !!
Hum mil nahi sakte..

Tumhari khwaahishain janaa’n

hain sir aankh0n peh mere

so ,,

sar-e-raah m0habbat mai

tumhari khwaahish0n ka ab jo ik tawa’an he zimmay !!

Usi ko bhar raha h0n main

ubherti saans kehti he musalsal mar raha h0n main

Suno GurRiya !!!

Guzara kar raha h0n main . . . /


"2 Ajnabi dost"
GurIyA KiLLEr

Aj December ki aakhri shab mei

Aj December ki aakhri shab mei

Shab-e-Tanhai mei

Apne Tayris pe khari kafi dair se

mein

Chodwiin k Chaand ko dekh rahi thi


jis ki chandni mei

mein bheeg gayi..

aur uss manzer mei itni doob gayi

keh !!
mujhe khabar bhi na ho saki

k kab

us ne meri bikhri zulfon ko sameta tha

aur . . .

chupke se kano mein sergoshi ki thi !!

apni mohabbat ka izhar kia tha

mujhe Ehd-e-Wafa mein bandh ker gaya tha

Wo lamha itna haseen tha

k ,,

Haya Se meri palkain jhuk si gayii thi..

Pichle Saal December ki aakhri shab aesi hi thi. .


Aur Aaj bhi

December ki aakhri shab he

aur mein soch rahi hon

keh !!!

Aj wo kis k saath hoga......?

K Aaj wo........

Kis ko apni wafa ka yaqeen dila raha hoga..



"2 Ajnabi dost"
  God  ByE

December Laut aaya h

Use kehna !!
December Laut aaya hy..

Hawayan sard hei
or vaadiyan B dhund mei gum hai

Paharr0n ne barf ki shaal
phir se orrh rakhi hy

Sabhi raste tumhari yaad mei pur'nam se lagte hei

Jinhai Sharf-e-Musafat tha


Woh saare cards,
w0h perfume,
w0h choti C diary,
Woh teris or chaye !
Jo hum ne sath men Pi thi

Tumhari yaad laate hei,
Tumhei wapis bulate hei ..

Usey kehna K

dekho y0n satao na

December Laut aaya hy

Suno !!
Tum bhi Laut Aao na . .



"2 Ajnabi dost"
  SmArT Boy

December without y0u !! imposible

December lout aya he

hawayein sarad hei

aur zindagi !!

tanhaayi k zindaan mei
larzaan he..

usey kehna . . .

dhoop nahii niklegi
to baraf kese pihglegi !!

usy kehna?

agar wo lout na aya to

sansain kese aayengi ??



"2 Ajnabi Dost"
ridEr Of  KArachi

[ December ]

[ December ]

December jab b lot’ta he,
Mere Khamosh Kamre Mein

Mere bister pe bikhri Hui Kitabian Bheg jati hain. . .

December ki baarish ]

w0h. . .

jisey baarish pasand nah thi

na janey Q !!!

Aaj dair tak tanha

December ki baarish mai

bheegta raha . .




"2 Ajnabi dost"
 ALoNE bUT HAPpY

DECEMBER to DECEMBER he

DECEMBER to DECEMBER he
Hamara saath deny ko

Saawan ke bharey baadal
Galey mil mil ke royenge

Phir itna paani barsega
Samander seh na payega

Karo na zidd chaley aao

Rakha he kia DECEMBER mei!!

Dilo’n mei piyaar he to phir

Maheeny sarey ache hai

Kisi bhi piyary mausam mei
Chupkey se chley aao

Chlao ab maan bhi jao

DECEMBER to DECEMBER he,,

DECEMBER ka bharosa kia !!

DECEMBER beet jayega. .



"2 Ajnabi dost"
WAntEd LArkA

Suna he diary Likhte ho tum ?

Suna he diary Likhte ho tum ?

kesa bhi mausam ho
tumhare haath mai

Qalam rehta he

apne dil ka sara bojh haLka kerte ho

kaaghaz0n se baatain kerte ho

Lafz0n ki dunyaa banate ho

suna hey diary Likhte ho tum ?

tumhari zindagi ka her Lamha tumhari diariy0n mai chhupa he

w0h sab tumne likha he,
jo tumney jiya he

diariy0n ko sajaya he,
unhai banaya he

Suna he boht chah se rakhte h0 ?

Suna he diary Likhte ho tum ?

mujhey bus aik baat puchni he

kabhi Lafz December bhi Likha he tumne !

December ki sard taweel raat0n mai

kabhi to likha hoga December ko. . . .!!!

kabhi nikLa hoga tumhare QaLam se bhi

December Dard ?

aur Lafz0n main dhaLa hoga

w0h Dard sard. . . . !

itni diariyaan likh chuke ho tum

mujhey bus yeh batao

December jab bhi likha hey tumney. . . . .

Tumhare aansu bhi behte hain ?

tumhari zard aankh0n se bhi

sard December behta he ?

mujhey yeh batao

w0h aansu kese r0kte hain ?

suna he…..!!
Diary Likhte ho tum …. ?




"2 Ajnabi dost"
 WaNtEd LArkA

December ki sard hawa0n

December ki sard hawa0n
Us se milo to kehna..

Keh aaj bhi Us ki yaad

Kisi k dil mai
Mustaqil Khaima zan he..

Koi aaj bhi usay

Uthtay,bethtay,sotay,jagtay,
Hanstay,rotay

Yaad karta he..

December ki sard hawa0n
Us se milo to kehna

K aaj bhi Kisi ki palkain
Sir e sham hai

Us k intizar mai
Beech jati hai

Aaj bhi koi Us ke lye
Udas rehta he

December ki sard hawa0n
Us se milo to kehna

K aaj bhi Kisi k din rat
Us kay bin

Sogawaar guzertay hai

Aaj bhi Kisi ki aankhain
Us ke liye Num rehti hai

December ki sard hawa0n,
December ki sard hawa0n

Us se milo to kehna ..



"2 Ajnabi dOst"
[ time PASs ]

Usay kehna !!

Usay kehna !!
December jaraha he. .

Decemeber kay guzartay hi

Baras ek aur mazi ki fizaon mei doob jaega

Usay kehna !!

December ka maheena jaisay guzrega

Umedein doob jayengi,
Woh sapnay toot jayenge

Usay kehna !!

December kay guzarnay say zara pehlay

Mohabbat ko koi tabeer de jaye

Usay kehna !!

Muqadar ko hamaray doob janay say bacha lena

Usay kehna !!
December ja raha hay . .



"2 Ajnabi dost"
[ tiME PASs ]

December Lout Aya HAi

DECMBER lout aaya he

Tumhare lout aane ki nai umeed jagi he

Abhi pichley baras tumne
Mere hathon pe rakh k hath

Haya se mouh chupaya tha..

Abhi pichley baras hi to

DECEMBER k maheney mei
Tumhein bahon mei thama tha

Aur

April aane tak

Tumhari jheel aankhon mei naya sapna sajaya tha

Mere chote se angan mei
Tumhei vehshat si hoti thi

Mujhe tumne bataya tha..

Kisi ki qaid mei rehna
Mujhe acha nahi lagta

Mai ik azaad panchi h0n

Suna he phir se tanha ho
September k maheney mei !!

Aise b0hat khamoosh rehte ho

K jis ko tumne chaha tha

Wafa k naam se usko buhat vehshat si thi

Woh ik azaad panchi tha

Kisi ki qaid mein rehna use acha nahi lagta

Suna he mere angan ki
Tumhein ab yaad aati he

Suna he tum pashema’n ho!!

Chalo phir aisa kerte hai

DECEMBER ka maheena he

Naya agaaz kerte hai

Tumhein baahon mei le lon mai

Mere seeney pe sar rakh k

Haya se mouh chupa lo tum

DECEMBER lout aaya he..




"2 Ajnabi dOSt"
 rOmANtiC KiLLEr

kahi yeh mere khwaab

Ab K December mai

mainey bhi kuch khwaab sajaye hai

Apni sard aankh0n mai ..

Per dar Lagta he

kahi yeh mere khwaab

PighaL na jayain
Dh0op parrne per..




"2 Ajnabi Dost"
 [  TiME pAsS ]

December aan pahuncha he





Abhi hijr ka qayaam he aur
December aan pahuncha he

Ye khabr shahr mei aam he
December aan p0huncha he

Aangan mei utar aayi he

manoos si khushbu

Yadon ka azdahaam he

December aan pahuncha he

Khamoshiyon ka raaj he

khizaan taak mein he

Udasi bhi bahot aam he

December aan pahuncha he

Tere aanay ki ummid

bhi ho chuki maadoom

Naye saal ka ahtamaam he

December aan pahuncha he

Khunak rut mein udasi bhi

chaukhat pe khadi he

Jaadday ki udaas shaam he

December aan pahuncha he

Tum aao to mere mausamon

ki bhi takmeel ho jaye

Nayi rut to sar e baam he

December aan pahuncha he..



"2 Ajnabi dost"
 [ tIME PASs ]