Feb 27, 2011

Ik Umar Se


Image 
[JiNNU ]
 
Ik Umar Se Yehi Hai Mere Dil Ki Arzoo
Wo Saamne Beetha Ke Mujhe Dekhta Rahe!!!

hummmmmm (^.^)


Pagal Larki

Pagal Larki

Pehle Mere Khat Ke Us Ne

Ik Anjaane Khauf Se Dar Kar

Tukrye Tukrey Kar Daley

Ab

Ek Haseen Ahsaas Ke Taabay

Jis Ka Koi Naam Nahi

Pichle Kitne Hi Ghanton Se

Darwaaze Ki Ott Mai Chup Kar

Tukrey Jorr Rahi Hai…………Pagal






"2 Aajnabi dOSt"
   sAzA-e-maut

Aap Ke Naam Se Jani Jaaon

Kasak

Mujh Se Wo Aksar Kehti Thi

Meri Bas Itni Khuahish Hai

Kuch Aese Pehchani Jaaon

Aap Ke Naam Se Jani Jaaon!




"2 Ajnabi dost"
     O Shittt

[ SorRy ]

“Sorry”



raat jab us ne merii nazm sunii
sun ke kuchh der vo hairaan rahii
aur phir kahne lagii….
“tum to aise nahiiN likhte thai kabhi
ye suKhan-goii kahaaN se seekhii?
aise jazbaat kahaaN se laaye?
aur ehsaas kii shiddat itnii?”

meri aaNkhoN meiN ubharte Gham ko
us ne mehsoos kiyaa hi hogaa
aur rafaaqat ke voh beetay lamhe
jin ko shaayad voh bhulaa baiThii thii
ek saa’at ke liye
Ghaaliban yaad kiyaa hi hogaa

is se pehle k laraztii aavaaz
aur palkoN pe thiraktay aaNsoo
us pe ilzaam koii dhar detay
maiN ne nazroN ko bachaate hue haule se kahaa
“pehle aalam hi kahaaN thaa aisa”
us ne yak laKht jhukaa liiN aaNkheiN
aur phir sahme hue lahje meiN
keh ke “sorry” huii ruKhsat mujh se,,,





"2 Ajnabi dost"
     gud byE

Badal lo raasta apna

Bazahir aam lehjay main

Kaha tha main ne jab us se

"Badal lo raasta apna

Juda rahain yaheen ker lo

Hamaray chahnay na chahnay se

Kuch nahi hota

Yahi sach hai k hum do mukhtalif

Rasston ke raahi hai

To phir kion dil ki manain hum

Shuru main manti hoon main

Azziyat dil ko pohanchay gi

Magar phir waqt guzray ga

Sabhi zakhmon ko bhar de ga"

Meray is aam se lehjay pe wo

Ik pal ko chonka tha

Meri aankhon main aankhain daal kar

Hairat se poocha tha

"Ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"

Bohat hi jee kar'da kar k

Main us dam muskurayi thi

Bohat khud pe jabar kar ke

Main us se keh ye payi thi

"Meri tum fikr rehnay do

Sambhal jaoon gi main khud hi

Sabhi zakhmon ko see loon gi

Bhula kar sari batoon ko

Akaili bhi main jee loon gi"

Buhat hi be yaqeen aakhoon se

Us ne mujh ko dekha aur

Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya

Aur ab tark_e_taalluq ko

Agarche umar beeti hai

Magar is dil pe us ki zaat ka

Jo naqsh qaaim tha

Kabhi dhundla nahi hota

Mujhay mehsoos hota hai

Ke jaisay meray kanoon main

Wo apni bolti aankhoon se

Sargoshi si karta hai

"WOH SAB JO KEH RAHI THEEN

KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"





"2 Ajnabi dost"
 BheeeyA g SmilE