Ik ghazal wo bhi sunaye to maza aaya ga...
Kuch aanso wo bhi bahaien to maza aaye ga...
Keh do saqi se mera gham bohat gehra hai...
Wo nazroon se milaien to maza aaye ga...
Sun ker mera gham wo bohat roien ge...
Aaj phir mehfil mien bulaien to maza aaye ga...
Nafrat he sahi koi rishta to hai qaim...
Wo dushmani bhi nibhaien to maza aaye ga...
Us zeher ko bhi hum jaam samajh lien ge...
Wo aapne haathon se pilaien to maza aaye ga...
"2 Ajnabi dost"
03132174713
FRODi LARkA
when 'I' is replaced by 'We'.. even 'Illness" becomes "wellness"!!! :))
May 4, 2010
Hum apni Deewangi se
Hum apni Deewangi se jaane jaate hain
Wo apni Be-Rukhi se pehchaane jaate hain
Roz miltey hai lekin, kuch Kehte Sunte nahi
Mere saamne wo Meri Dharkan barhaane aate hain
Shab-Bhar Intzaar mai Hum Taare dekha karte hai
Sawera hone se pehle wo chand bujhane aate hain
Bas Ek Nazar ke liye Hum Din-Bhar taraste hain
Wo Shaam ko Gamlon ko Paani pilaane aate hain
Mere is Haalat pe Hansana nahi MUSAFIR Tuu
Ishq mai sab ke Saamne aise Zamaane aate hain

kabhii tumne, kabhii humne
-
Wafaa kii daastaaN chheRii kabhii tumne, kabhii humne
Ba-tarz-e-dilbarii tumne, ba-rang-e-aashiquii humne - Nigaar-e-shauq se baKhshii jinheN taabandagii humne
Tasavvur meN unhiiN jalvoN se maaNgii raushnii humne - Wohii jalve, Wohii aaNkheN, magar kyaa ho gayaa dil ko
Na jaane kyuuN badal Daalaa mazaaq-e-zindagii humne - yahii viiraan aaNkheN haiN, yahii sunsaan raaheN haiN
yahiiN aksar jalaaye haiN chiraaGh-e-zindagii humne - judaai kaa samaa hai aaj tak apnii nigaahoN main
- Na ko�ii baat kii Tumne, na ko�ii baat kii Humne
- kisii ke jalvaa haaye nau-ba-nau jab yaad aaye haiN
to ashkoN se bujhayii hai nazroN kii tashnagii humne - Wo kuch kahne ko the ham paa gaye, vo muskuraa uThThe
ko�ii to baat thii jo munh se chhiin lii hamne - HameN maaluum hai majbuuriyoN kii intihaa kyaa hai
ke dekhii hai nigaah-e-husn kii bechaargii humne - bas ek zauq-e-nazar par naaz thaa vo bhii nahiiN baaqii
�JaNa� unke taGhaaful ko ye daulat saunp dii hamne"2 Ajnabi dost"03132174713
Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

Subscribe to:
Posts (Atom)