May 2, 2010

MERA ZIKR NA KARNA

DUKH DARD KE MAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA
GHAR JAO TO YAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

WOH ZABT NA KAR PAYEINGEE AANKHOUN KE SAMANDER
TUM RAAH GUZAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

PHOOLOUN KE NASHEMAN MAIN RAHA HOUN MAIN SADA SE
DEKHO KABHI KHAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

SHAYAD YE ANDHERE HI MUJHE RAAH DIKHAYEIN
AB CHAAND SITAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

WOH MERI KAHANI KO GHALAT RANG NA DE_DEIN
AFSANA NIGAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

SHAYAD WOH MERE HAAL PE BE-SAAKHTA RO_DEIN
IS BAAR BAHAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

LE JAYEINGE GAHRAI MAIN TUM KO BHI BAHA KAR
DARYA KE KINAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

WOH SHAKHS MILE TO USE HAR BAAT BATANA
TUM SIRF ISHAROUN SE MERA ZIKR NA KARNA

*~ Wo Maan Jaati ~*









*~ Wo Maan Jaati ~*



Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati



Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati



Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati



Mein kehta "chalo tum ko ghuma kar laoon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaati




Jo mein us ko taktaa ... zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati



Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati



Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati



Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati



Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchaalti matakti magar maan jaati


"2 Ajnabi dost"
  ME & YOU

Khaash Aap Meri Majburi

Khaash Aap Meri Majburi Ko Samaj Paate
Aaj Bhi Hum Sirf Aapke Hai Ye Jaan Paate

Chahat Ka Diya Bujta Nahi
Intezar Ka Aalam Mithta Nahi
Ummeed Ka Daaman Chutha Nahi
Aaj Bhi Aapke Hi Raah Dekte Hai


Aaj Bhi Hum Sirf Aapke Hai Ye Jaan Paate

Nazre Aapke Talaash Mein Thakte Nahi
Dil Aap Keliye Dhadakte Rukta Nahi
Aapki Yaad Mein Ye Aansoo Thamte Nahi
Aaj Bhi Aapke Hi Sapne Dekte Hai

Khaash Aap Meri Majburi Ko Samaj Paate

 


[JiNNU RidEr]
 i FEEL ALONE

Koi dost hai na raqeeb hai



Koi dost hai na raqeeb hai
Tera sheher kitna ajeeb hai

Wo jo ishq tha wo junoon tha
Ye jo hijar hai ye naseeb hai

Yahan kis ka chehra perha karoon
Meray kon itna qareeb hai ???

Main kis se kahoon meray saath chal
yahan sab ke sar pe saleeb hai

Gila karain to kis se karain
Jo ho gaya wo naseeb tha.
 
 
[JiNNU RidER]
i FeeL AlONE 

Un k chehrey ki baat ho Jaye

AAJ saqi sharab rehne do
tishnagi ka azaab rehne do,

pounch dalo na aankh se kaJal
kuch to khanJer pe AAB rehne do,

tum sanwaro In apni zulfon ko
mere halaat kharab rehne do,

chand badal mein acha lgta hai
aadhey Rukh pe Naqab rehne do,

Un k chehrey ki baat ho Jaye
AAJ zikr_e gulab rehne do,

Un ki chokhat ko choom lon FARAZ
baqi sare sawab rehne do..!


[2 Ajnabi dost]
 i Feel AlonE 

Wo samne aye to Nazron

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga



[JiNNU RidEr]
 I FeEl AloNE 

Mere Saahir Se Keh Dena

Mere Saahir Se Keh Dena

*******************



Mere Saahir Se Keh Dena
Musaafir Aaj Tak Chup Hay...
K Uss k Haath Mein Tum Ne...
Jo Apna Haath Rakha Tha...
Vo Ab Tak Yaad Karta Hay....

Mere Saahir Se Keh Dena...........

K Sadiyon Ki Musafat Ne...
Mere Pairon Se Baandhi Hay...
Thakan Ab K Baras Itni......

K Apni Doobti Nabzoon Se Main Khaayaf Sa Rehta Hoon

Na Jaanay Kab Kahaan Pe Umer Ki Yeh Dor Kat Jaaiy.....

Main Apnay Aur Tumhaary Beech k In Faaslon Ko....
Chand Saanson Ki Kami Se Haar Na Jaaon.....
Bisaat-a-Jaan Par Phaili Dooriyon k Bojh Ko Le Kar....

Yunhi Mar Jaaon...!!!!

Mere Saahir Se Keh Dena..........

K Uss k Ishq k Talism Se Ab Tak Woh Nahi Niklay

K Jin Ko Uss Ki Aankhon Ne Faqat Ik Baar Dekha Tha


Mere Saahir Se Keh Dena..........

K Saaray Shehar Ko Mere

Yunhi Patthar Na Rehnay De

Mere Talism Kadon Mein Laut Kar Aaaiy

K Woh Patthar Tarastay Hain

Tumhaari Chashm Ki Jumbish Unhein Ik Baar Phir Kar De

Kisi Zee Rooh Ki Manind


Mere Saahir Se Keh Dena...............

Bichar Kar Tum Jo Miltay Thy

To Yun Mehsoos Hota Tha

K Jaisay Marg k Dhundley Kinaaron Tak Pohanchaty Hi

Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yaad Aa Jaaiy

Kaho Phir Se Chala Aaiy

K Uss k Laut Aany Se

Hamaari Doobti Nabzon Ko Phir Se Saans Aa Jaaiy! ! !

Agar Sehra Se Guzro To........

Mere Saahir Se Keh Dena......!!!



[2 Ajnabi dost]
 i FeeL AlonE

ek esi shaam ati hay

Sawad-e-zindagni main
ek esi shaam aati hay

ke jis kay sarmai anchal main

koi phool hota hay

na hathon nain koi tara!

jo aa kar bazoun main tham le

phir bi

rag-o-pay main koi aahat nahin hoti

kisi ki yaad ati hay

na koi bhool pata hay

na koi gham sulagta hay

na koi zakham silta hay

gally milta hay koi khuab

na koi tamna hath milti hay

sawad-e-zindagi main

ek esi shaam ati hay

jo khali hath ati hay!



[JiNNU RidEr]
 i FEEL AlonE 

"Abhi Ghar Na Jana"

"Abhi Ghar Na Jana"



Ye bikhri si zulfein Ye pheala sa KaJal,

Ye bechain aankhein Ye simta sa aanchal,

tere haal se log pehchan lein gy,

tuJe dekh kr sb muJe Jan lein gy,

Ye behkey qadam Ye larkharati Jawani,

Ye betaab Dil aur muhabt Deewani,

shafak Jaese galon pe Ubhri hoi hai,

mere honton ki ek mehakti nishani,

tere Jism se Urrti meri Ye khushbo,

suna dy gi hr ek ko sari kahani,

na bn Jaye apna milan ek fasana,

abhi ghar na Jana,, abhi ghar na Jana...!


[JiNNU RidEr]
03132174713