Mar 22, 2010

Ek bhegi hui si raat mile

Ek bhegi hui si raat mile
us raat me tera hath mile

tere lab se tapken jo bonden
unhe mere labon ka sath mile

kuch tum bi behke behke se
kuch mujh pe nasha sa tari ho

har pal me chaye madhoshi
Ek aisi raat hamari ho

phir tum aao meri bahon me
main pyar karon tumhe ji bhar ke

tum mujhse thora sharma jao
sharma k galay se lag jao

main jitna tumko pyar karon
tum itne hi betab ho jao

hamein pyar k kuch lamhat milen
Ek bhegi hui si raat mile….!



"2 Ajnabi dost"
 ! HATE GiRLZz

Ek Raat Chahiye

Ek Doje K Ho Jain Hamein Aisi Haseen Ek Raat Chahiye”

Jese Phool Se Juda Hoti Nahi Khushbu”

Mujhe Aisa Tera Saath Chahiye”

Mere Liye Na Sahi Zamane K Liye Sahi”

Mere Haathon Me Hona Tera Haath Chahiye”

Dil Se Mil Jai Dil Sada K Liye”

Han Aisi Hi Haseen Mulaqat Chahiye”

Raat To Aati Hai Har Subha K Baad”

Raat Me Bhi Honi Kuch Baat Chahiye”

Zabardasti Ka Pyar Bhala Kis Kaam Ka”

Tera Pyar Mujhe Dil Se Din Raat Chahiye” …


"2 Ajnabi dost"
KiLLinG AtTiTudE

Ik arzoo ha

Ik arzoo hai puri parwrdgar kre,
Mein dair say jaon wo mere intzar kre,

Apne hathon say sanwarun zlfein uski,
Wo sharma ker mhabat ka iqrar kre,

Lipat jay mujhse aalm e madhoshi mein,
Or josh e janun mein mohabaat ka izhar kre,

Ho shab e wisal ya RAB!,
Kia bheegi zulfon say mujhe bedaar kre,

Jab usay chor k jana chahun Wasi,
Wo rokay or ik raat ka israr kre,

Qasam khada ki main kisi or ka ho nahi sakta!
Ya wada e wafa wo bar bar kre…



"2 Ajnabi dost"
i HATE GIRLZZ
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?


dopehar ke garm suraj ki taraf dekho
or itni der tak dekho ...?
ke binayi pighal jaye



TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?


asman se toot'ti andhi ulajhti bijliyon se
dosti kar lo
or itni dosti karlo
ke ghar ka ghar he jal jaye


TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?


ek anjaane safar main
ek ajnabi ke hamrah door tak jao
or itni door tak jao
ke woh rasta badal jaye


TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?



"2 Ajnabi Dost"
I HATE GiRLZz

Khabhi milein phir ?

Khabhi milein phir ?

Khabhi milein phir
Ussi terhan
Ussi jagha
Unhi lamhoon main
Ore unhi lamhoon ki lazaatoon main
Wahi khush gumaniyun k chaand
Wahi bad-gumaniyun k bhanwar
Wahi madd-o-juzer rafaqatoon k
Wahi azaab raqabatoon k
Main kisi sey koi kahani khaoon
Tum kisi sey koi kahanai kaho
Ore
Asal main aik kahani ho
Jo apni ho
Khabhi milein phir ussi terhan, ussi jagah ?



"2 Ajnabi dost"
 ! HaTE GiRLzz

tum ai ho to kya ai ho

Ab meray Pass tum ai ho to kya ai ho
Main nay ma'na k tum ek pekar e ranai ho
Chaman e dehar main roh e chaman aarai ho
Talat e mehar ho firdos ke barnai ho
Bint e mahtab ho gardo say utar ai ho
Mujh say milnay main ab andesaha e ruswai hy
Main ny khud apnay kye ke ye saza pai hy
Ab meray pass tum ai ho to kya ai ho
Un dino mujh pay qyamat ka jano ta'ri tha
Sir py sir sharyu ishrat ka janu ta'ri tha
Mah paro say muhabat ka janu ta'ri tha
Shaheryaro say raqabat ka janu ta'ri tha
Bistar e makmal o sand'yab the dunya meri
Ek rangeen o hassen khwab the dunya mere
Kya sunu ge meri majroh jwani ke pukar
Meri faryad e jigar dooz mera na'la e zaar
Shidat e karb main dobi hoi meri guftar
Main k khud apnay mazak e tarab’ahi ka shikar
Wo gudaz e dil marhom kahan say lao’n
Ab main wo jazba e masom kahan say lao’n



"2 Ajnabi Dost"
Dnt Belve Girlzz

Jo log jaan boojh k naadaan

Jo log jaan boojh k naadaan ban gaye
Mera Khayal hai k wo insaan ban gaye

Hum hasher mein gaye magar kuch na pochiye
Wo jaan boojh ker wahan anjaan ban gaye

Hansatay hain hum ko dekh k arbaab_e_aagahi
Hum aap k mizaaj ki pehchaan ban gaye

Manjh_dhaar tak pohanchna to himmat ki baat thi
Saahil k aas paas hi toofaan ban gaye

Ensaaniyat ki baat to etani hai sheikh jee
Bad_qismati say aap bhi insaan ban gaye

Kaantay bohat thay daaman_e_fitarat mein aye Adam
Kuch phool aur kuch meray armaan ban gaye.... .
 
 
"2 Ajnabi dost"
Dnt BeLve GiRLzz

Kaat Kr Haath Mery

Chand Manga Na Koi Chand Nagar Manga Tha,
Andhi Nagari K Liye Noor-E-Sehr Manga Tha.

Phenk Deen Noch K Maali Ne Zubanen Un Ki,
Chand Chirriyon Ne Chèhakny Ko Shijr Manga Tha.

Piyar Se Hum Ne Banaya Tha Sahil Pe Kabhi,
Raat Bachon Ne Wohi Rait Ka Ghar Manga Tha.

Zard Mosam Ki Hawaon Ne Usy Ghair Liya,
Jis Ne Gulshan Mein Baharon Ka Guzar Manga Tha.

Kaat Kr Haath Mery Rakh Diye Mery Aagay,
Koi Tawan Nahi Ajar-E-Hunar Manga Tha.

Na Jany Kis Liye Waqt Khafa Hai Mujh Se,,
Main Ne Sookhy Hovy Pairron Se Samar Manga Tha...

"2 Ajnabi dost"
 GurIyA KiLLEr