Oct 12, 2009

hAMaREy diL kA khILOnA


jo Apni umAr sEY aGEy niKAl RahI Ho Tm
tumHEN khAber hAI jaWAni MEIn dhAL Rahi HO Tm

kABhi tmHEn bHI to dawA thA sARd MohRI kA
kiSI k lAMs ko pakEr PighAl Rahi HO Tm

bATaO kYun nAHi RokA thA jANEy Wale ko
Ab ek umAr sey kYUn hATh mAl Rahi hO Tm

jO WaLden nEy tMse kAHa TmnEY maAN lIA
aB apNI aGG mEIn chuP chAAp jAL rAHI hO TM

hAMaREy diL kA khILOnA tMHI nEY tORa THA
AB iSs kHilONEy ki khAtir maCHal Rahi HO Tm

tmHEN guMAn hA k mEIn janTA nAHi kUCh bHI
muJHEy khAber hAi k rasTA badAl rAHi ho TM......

"2 Ajnabi dost"
03132174713

AsaLAam-o-aLikum Guriya !!!


AsaLAam-o-aLikum Guriya !!!


Itnay dinu baad tumahri yaad aayi tao soocha kyun na tum se kuch baatien kerLoon .. phir kahien waqt k is taiz bhunwar mein mauqay haath se chooth jaaien tao pachtawaey na gheer lein mujh ko ... aaj mauqa haath aaya hai tao waqt ko bhi muthi mien ley beathay tum se do chaar baatien kerne ka mun tha ...

Kitnay bars guzar gaey hein .. tumhe dekhey tum se bat kiey ... Such poocho tao aisa lagta hai keh halaat ki shaakon ne mujeh apni baahon mein ley liya ho ... tumhe aakhiri baar kab dekha sahi se yaad nahi .. haan per itna yaad hai keh shadi se pehlay main tum ko ankhoon se ujhul na rukhti thi .. hum kitna khaila kertay thay yaad hai na??? ... kitnay safur thay aisay ju tunha hum tum chuLtay thay ...

Mujeh yaad hai aik din abbu ne milwaya tha hum ko .. aur miltay hi shanasayi k kitnay dur hum ne saath hi waa kiey thay ...main tao aik hi saans mien bolti hi chuli gayi thi aur tum mujh ko aisay tukti rahien jaisay sub kuch pehlay se jaanti ho .. phir kuch arsaey mien main tum se apni jhoti suchi... choti moti .. sari hi baatien kerne lagi... tumhe yaad tao hoga ? aik din hum tum park k safur per niklay thay.. nanngaey paaon ... !! aur mitti mein khailtay khailtay yukdum hi meri ankhien num num thien .. tum ne chaunk ker' mur ker nazron k taaqub mein wuh munzur dekha ... jis munzur ko main dekh rahi thi ... aik bachi thi choti si ... masoom si guriya .. tum jaisi .. aur abbu os k os ko jhoola jaisay deytay thay .. wuh waisy hasti jaati thi ... .. wuh duno kitnay kush thay na ... main ne tum ko dekha tha aur poocha tha " Guriya !! Kya sub k abbu hastay hein ??? jhoola deytay hien ???" Tum najaney kyun sipaat chehray sung meri aur tukti gaaien.. aisay jaisay ... kuch na ho kehne ko .. mere mun ko behlaaney ko ... aur tum ne mujeh ko apni najaney ulti seedhi baaton mein gum kerke ... khail mein masroof kerlya ...

Tum kehti thien na mujh ko ... mujh mein kuch aisa hai .. ju sirf tum ko dikhta hai .. aur aik din aisa aaeyga keh tum bin bhi main khailoongi aur tunha tunha safur per nikloongi .. main rooti thi aur waday tum se leyti thi keh ... choorh nahi jana mujh ko ... kachi umar ki baaiten bhi na.. ub soochon tao hasti hoon .. per shuker khuda ka kerti hoon keh mujh ko tumahra saath mila

hahaha!!! main kitni pagal hoti thi ... ub shayid tum sooch rahi ho .. itnay barason baad tum ko yaad bahala kyun ker beathi ... Aaj humaray ghur aik tum jaisi guriya aayi hai .. main kush hoon... tum dekhogi tao kahogi keh ankhien meri jaisi hien ... ... aur dekhna tum ..is guriya sung mien baaqi umr guzaaroongi .. aur ub is guriya ko tum jaisa banaoongi ... ju mere sung rehti thi

Acha ub main chuLTi hoon ...

os guriya k naam ju mere andur rehti hai

:'"2 Ajnabi dost'":
03132174713

Ek dost bola tu Shadi kis se karega?


{ AFSANA}

Ek dost bola tu Shadi kis se karega?

Mein ne kaha mein shadi shuda hon

Kehne laga kon hai tera Jeewan sathi?

mein ne kaha Yadain hain kisi ki

Kehne laga kis ne parhaya tha tera Nikah?

mein ne kaha mustaqbil ke khwabon ne.

Wo bola kesi guzar rahi hai zaindagi ?

mein bolne hi wala thak Aankhon se Aansu chalak paray

Wo Bola Usay Chhor kyun nahi Deta?

mein ne kaha HAQ-MEHAR mein Apni Zindagi Likhi hoi Hai


"2 Ajnabi dost"
03132174713

Chooryaan hath mein thin



Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!

Poet:JiNNU Ajnabi

"2 Ajnabi dost"
03132174713

"Ek Ladke Ne Ek Ladki Ko Prapse Kiya"




Ek ladke
ne ek ladki
ko prapose
kiya to ladki
ne uske praposel
ko thukra
diya.Uska
dost ye sab
dekh raha tha
aur dusre din
use khush
dekh kar
usase puchhata
hai tum to khus
nazar aarahe
ho jabki ladki
ne to tumhare
praposel ko
thukara diya,
kya tum udas
nahi ho ?
to wo ladka
kahta hai
mai udas kyu
rahu wo bhi
uske liye jo
mujhse pyar nahi
karti,jabki
mai janta hu
ki maine use
khoya hai
jo mujhse par
nahi karti
udas to use
hona chahiye
tha ki usne
use kho diya
jo use sachcha
pyar karta tha.

"2 Ajnabi DosT"
03132174713

dulhan si sajna chaahun main


**Dulhan**

dulhan si sajna chaahun main
teri aankhon mein woh chamak
ek baar dekhna chaahun main.....

churiyaan khanke jab bhi
teri or apne haath badaaun
paayal baje jab bhi
tere paas aana chaahun main....

phoolon se ghar mehke
lage sab cheez saji sajaayi
tu mere itne kareeb ho
teri hi khusboo lena chaahun main....

ruko thoda lat sawaarun
jhumke pehnun ...
chehra dekhun aaine mein to lage
nah ab to aur sanvarna chaahun main....

sharm se aankhein jhuki meri
sochkar hi ke kareeb aaogey

phir ek dastak hui darwaaze pe
kismat khadi thee kehne ...ye teri jagah nahin
koi aur hai ...woh koi aur hai
kuch bhi ho jaaye nahin badal sakti
jaise kismat chaahe tu....

utaar di gehne saare...
khushboo bhi bikhar gayi
lat khuli rahi..
khaamoshi ye ab nahin sehna chaahun main...

haath utha tab bhi rab ki taraf
tujhe khushiyaan mile bahot zyaada
tu salaamat rahe ... bas yehi kehna chaahun main...

khuda ne bhi diya jawab mujhe
dulhan gehno se nahin pyaar se sajti hai
kaha ke dil ko sawaaron jahan woh baste hain
use na dukhaao jahaan woh rehte hain
samaj lo ab...saj lo ab...tum aaj bhi dulhan bani ho ...

"2 Ajnabi dost"
03132174713

"Aye doSt"

"Meri Payri Maa"

Aa Ab Laut Aa


Aaj Lamha-e-Tanhai Mein
Main Baitha Hua Hoon
Aur Apnay Mazi main Jhank Kar
Haal Ko Apnay Dekh Raha Hoon
Aaj Phir Meri Ankhoon Main Ansoo Aa Gaay
Aur Main Mazi Ki Yaadoon Main Khoo Gaya
Main Dair Tak Un Manazir Ko Karta Raha Yaad
Phir Yoon Apnay Aap Say Goya Hua!

Kitnay Haseen Din Thay Woh

Jab Hum Donoo Issi Jagah Milay Thay
Jahan Roshni Tumharay Dam Say Chamakti Thee
Jahan Hu`wain Humharay Sath Ma-e-Raqs Theen
Jahan Fazaain Hum Say Huma`Waqt Mad`hosh Theen
Jahan Suraj Dar Main Chamakta Thaa
Jahan Chand Dair Tak Humain Tak`ta Thaa

Jahan Ghantoon Hum Apas Main Baithay
Apnay Mustaq`bil Ki Baatain Kartay Thay
Tum Aksar Chup Raha Karti Theen
Mere Ilfaaz Khatam Ho Jaya Kartay Thay
Tum Kabhi Kabhi Meri Ankhoon Main Jhank`ti Theen
Main Tumhain Sirf Cheh`ray Say Parha Karta Thaa
Tum Jati Theen Mujhey Say Kabhi Rooth
Guftgu Say Main Anzada Laga`ya Karta Thaa

Kitnay Haseen Din Thay Woh

Jab Hum Khool Kar Hans`tay Thay
Jab Hum Donoo Apas Main
Shik`way Gil`lay Shikayat Kartay Thay
Kabhi Kabhi Kishi Baat Par Rooth Kar
Hum Donoo Aik Dosaray Ko manaya Kartay Thay

Aaj Main Wahan Poocha Toa Tujhey Na Paya
Dil Hoo Gaya Udas, Tu Bohat Yaad Aaya

Jis Dar Kay Sath Hum Baith`tay Thay
Us Ki Dewar Nay Mujh Say Shikwah Kia
Jin Darakhtoon Kay Saaye Main Kartay Thay Baatain
In Kay Pat`toon Nay Mujh Say Kia Gila
Woh Hawain Jo Tere Baloon Ko Sahla`ti Theen
Un Dinoon Aur Raatoon Nay Mujh Say Kia Nala
Woh Roshani Jo Teri Saansoon Ko Mahka`ti Theen
Us Ki Chandni Nay Mujh Par Gazab Kia
Woh Kiranain Jin Say Dahka`ti Thee Teri Arzoo
Us Chamak Nay Mujh Par Jabar Kia
Woh Phool Jo Teri Muskurahat Say Khil`tay Thay
Us Ki Khush`boo Nay Mere Sath Ajab Kia

Main Nay Sunain Dar-e-Dewar Ki Yeh Shikayatain
Aur Soocha Tu Nay Mere Sath Kia Zulim Kia
Main Phir Baith Gaya Ussi Jagah Par Aaj
Jahan Say Kia Thaa Mohabbat Ka Hum Nay Aagaz

Ansoo Abi Bai Thay Jari
Aur Ashkoon Ka Raqs Abi Na Thama Tha
Ankhoon Main Aubri Aik Shikayat
Par Lapoon Par Gila Na Thaa
Dil Aakhir Main Be`Ikhtiyar Pukar Utha
Aa Ab Laut Aa
Mujh Say Ab Hota Nahin Intezaar
Mere Viraan Dil Ko qarar
Meri Rooh Aur Mere Dil Ko
Ab Tu Hi Aa Kay Sambhal


"2 Ajnabi dost"
03132174713

Guriya aaj bhi andhi hai


Guriya aaj bhi andhi hai
Khailtay khailtay dono main say
Aik nay doojay ki guriya ki noch li aankhain
Larki .................... .....cheekhi !
Dekho , tum nay meri guriya andhi kar dee
Ab sapnay kaisay dekhay gi ???
Larka naadim ho kar bola ......
Main jab abbu jitna ho kar , shehar gaya to ,
Yeh wada karta hoon tum say ,
Sab say pehlay ,
Iss ki aankhain laoon ga
Suna hai shehar gaya woh ik din
Janay iss k baad huwa kya ,
Yeh maloom nahi hai lekin
Aaj achanak uss larki ko raah main dekha
Haath uss k ik guriya thi
Haan batlaana bhool gaee main ,
Guriya aaj bhi andhi hai ....... !

"2 Ajnabi dost"
03132174713

woh pagli si deewani si


woh pagli si deewani si kuch khoi si anjaani si khud sai woh baatain karti hi khud sai woh uljhi rehti hai kabhi khawaboon ko woh bunti hai khayaloon mein doobi rehti hai kabhi chand ko banati hai humraz kabhi kirnoon kai sang jagti hai hathoon ki lakeeron ko aksar janai kyon takti rehti hai woh kis ko khoojti rehti hai woh khatbi si deewani si kuch nadaan si kuch sehmi si rangoon kai sang woh chalti hai kehti hai khushboo naam mera woh andheroon sai nahi darti hai kabhi khawaish sai kabhi armaan sai har lamha raushan karti hai woh komal si woh kamsin si ankhoon main dheroon khawab liyai palkoon mein tumhein sajati hai rahoon mein tumharai bethi woh kitnai hi pal beetati hai kabhi aas kai lwoh pagli si deewani si kuch khoi si anjaani si khud sai woh baatain karti hi khud sai woh uljhi rehti hai kabhi khawaboon ko woh bunti hai khayaloon mein doobi rehti hai kabhi chand ko banati hai humraz kabhi kirnoon kai sang jagti hai hathoon ki lakeeron ko aksar janai kyon takti rehti hai woh kis ko khoojti rehti hai woh khatbi si deewani si kuch nadaan si kuch sehmi si rangoon kai sang woh chalti hai kehti hai khushboo naam mera woh andheroon sai nahi darti hai kabhi khawaish sai kabhi armaan sai har lamha raushan karti hai woh komal si woh kamsin si ankhoon main dheroon khawab liyai palkoon mein tumhein sajati hai rahoon mein tumharai bethi woh kitnai hi pal beetati hai kabhi aas kai lamhoon mein jeeti woh khawaboon ko mehkati hai kabhi wafa ki shama raushan kiyai tumharai naam ka diya jalati hai woh pagli si deewani si kuch khatbi si anjaani si apni hi baatain sochai jo khud aap hi aap muskaati hai dil ki dharkan jo sun lai to khud hi woh Sharma si jaati hai woh kehti kuch nahi lekin ankhoon sai sab kehjaati hai woh pagli si deewani si jo tumhein sochti hai har dam tumhein panai ki duain karti hai woh khoi si anjaani si tumse mohabbat karti hai...amhoon mein jeeti woh khawaboon ko mehkati hai kabhi wafa ki shama raushan kiyai tumharai naam ka diya jalati hai woh pagli si deewani si kuch khatbi si anjaani si apni hi baatain sochai jo khud aap hi aap muskaati hai dil ki dharkan jo sun lai to khud hi woh Sharma si jaati hai woh kehti kuch nahi lekin ankhoon sai sab kehjaati hai woh pagli si deewani si jo tumhein sochti hai har dam tumhein panai ki duain karti hai woh khoi si anjaani si tumse mohabbat karti hai... "2 Ajnabi dost" 03132174713

Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,


Lines to my love Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi, Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi.. Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi, Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi.. Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha, Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi.. Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say, Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi.. Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main, Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi.. Duain us ki balaon ko rook laiti thin, Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi.. Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni, Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi.. Usay nadamatain mairi kahan gawara thin, Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi.. Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon "jINNU" Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi.. "2 Ajnabi dost" 03132174713

Agar woh badshah hota


Agar woh badshah hota
to koi bat b hoti
suna hai badshahon ko
dain asa koi nazrana
jo sub cheezon sai ber kar ho
to apni badshahi tak
luta datai hain woh aksar
mohobot hai hamarai pas
magar woh badshah kab hai?

"2 Ajnabi dost"
03132174713

~*AURAT*~ Yeh sochte guzari hay main ne raat Aurat hon kis tarha se karon apne dil ki baat Kyun ishi k wasty hain pabandiyan tamam Aurat k saath mard ka wabasta kyun hay naam Beti hay jab to baap se pahchani jati hay Bivi bhi aik mard ki woh mani jati hay Kiya is ki apni zaat ki pahchan hi naheen Aurat bas aik''cheez'' hay insaan naheen Malik tha pahly baap to shohar bana hay ab Jina hay jis k hukam k saye main rooz o shab Jo kuch raza thi baap ki sar ko jhuka liya Shohar ko sar ka taaj bana kar saja liya Aurat ki apni soch na apni pasand hay Is par jahan zaist ki har rah band hay Janat mile gi is ko yeh zulam sab sahy Ho choor ya sharabi majazi Khuda kahe Phir bhi hai khush yeh sochte huwe Jannat milegi mard ko is k kadam talle " 2 Ajnabi doSt" 03132174713