Dec 28, 2009

Rail ke Dibbe me ye Qisaa Hua

Rail ke Dibbe me ye Qisaa Hua 
 

 



Rail ke Dibbe me ye Qisaa Hua
Ek Bachaa zor se rone lagaa

Maa ne samjhane ki koshish ki Buhut
Usko Bihlane ki koshish ki Buhut

Thak ke akhir Loriyaan Gaane Lagi
Bijliyan kaano pe Barasaane lagi

Das minute tak Loriyaan jab vo Gaa chuki
Til milaa kar Bol utha ek admi

Behanji, itna karam ab kijiye
Aap is Bache ko rone Dijiye...
 
 
"JiNNU RidErZ"
FRee StyLE 
yaar tum baat baat per ro kyun deti ho

Mera tumhara' kia rishta hai
kuch bhi nahi
agar kabhi tum' guzarta dekho
kia tum mujhe' bulao gi
shayad nahi
agar jo phir hum' kabhi na mile tu
kia tum yaad aao gi' nahi
kion k tum meri koi nahi
main janta hoon magar
ho jub meri koi nahi
kion lagti ho mujh ko parai' nahi
ho ho ho ho...
jub bhi mile hum
aisa laga phir' milenge nahi
phir bhi najane kisi bahane
milte gaye hum tum agar kahin na kahin
jub aaj koi... nahi hain bahana
phir kion... tehar jain kadam..

yaar tum baat baat per ro kyun deti ho

yaar tum baat baat per ro kyun deti ho

Mera tumhara' kia rishta hai
kuch bhi nahi
agar kabhi tum' guzarta dekho
kia tum mujhe' bulao gi
shayad nahi
agar jo phir hum' kabhi na mile tu
kia tum yaad aao gi' nahi
kion k tum meri koi nahi
main janta hoon magar
ho jub meri koi nahi
kion lagti ho mujh ko parai' nahi
ho ho ho ho...
jub bhi mile hum
aisa laga phir' milenge nahi
phir bhi najane kisi bahane
milte gaye hum tum agar kahin na kahin
jub aaj koi... nahi hain bahana
phir kion... tehar jain kadam..

mujhe jaise rulate

mujhe jaise rulate

ho
 
 

 



kabhi maloom ho tumko
ki tum achha nahin karte..
jo mujhko yun rulate ho
lahoo mera jalate ho
kabhi is aag me jalkar
agar main raakh ho jaaoon
mujhe dil se bhula dena
samandar me baha dena
magar yeh yaad rakhna tum
khuda se yeh dua karna
ki jo achha lage tumko
woh tum jaisa na hargiz ho
digarna tum bhi ro'ge
mujhe jaise rulate ho


"2 Ajnabi dost"
 sAzA-E-Mout 

jahan phoolon ko khilna tha

jahan phoolon ko khilna tha 





jahan phoolon ko khilna tha  wahin khilte to accha tha…
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha…

koi akar humse pooche ,tumhe kaise bhoolaya haan..
hazaar zakhum aise the agar silte to accha tha…

tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha…
tumhain jitna bhoolaya hai tumhare yaad aae hai…

bahaar jo aae hai wohi khushboo hi lae hai…
tumhare lub agar meri khatir silte to accha tha…

tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha…
mila hai lutf humko bhi haseen yadon ki jhilmil main…

kati hai zindagi tum binmagar itne see hai dil main…
agar atay to accha tha, agar milte to accha tha….



"2 Ajnabi dost"
 sAzA-E-Mout 

Tujhey Main Bhool tou Jata. . . /

Tujhey Main Bhool tou Jata. . . /







Magar Terey Ta'alluq se
Jo Chehrey Saamney Aaye
Jo rastey Saamney Aaye
Jo Lamhey Saamney Aaye
Jo Rishtey Saamney Aaye
Unhein Kaise Bhulata Main
Tujhey Kaise Bhualata Main ?


"2 Ajnabi dOst"

Suno!!

Suno!!



 





Suno!!

Aisa nahi karna,
Mai pehley hi Akela hoon,
Mujhe aur Tanha nahi karna
Meri in Jheel Aankhon ko,
Kabi Sehra nahi karna,
Judai b jo aajaye,
To Dil chota nahi karna
Boht Masroof hoo Jana!!
Mujhe Socha nahi karna,
Bharosa b Zururi hai,
Magar sHak nahi karna
Muqaddar phir Muqaddar hia,
Koi Da-wa nahi karna,
Meri Takmeel Tum se hai,
Mujhe Adhura nahi karna,
Jo likha hai wohi hoga,
per Tum kabi shikwa nahi karna..


"2 Ajnabi dost"
 sAzA-E-mOuT 

Khirkiyon K Sheeshon Par,

Khirkiyon K Sheeshon Par,






Khirkiyon K Sheeshon Par,

Reengtay Huwe Qatray....

Yun Phisalte Hain Jaise!!!!

Mere* Aur Baadal K Darmayan Koi Hai:......

Jo Mere Aur Baadal K Raaz Ko Samajhta Hai......

Jab Ghatayen Chaatien Hain

Tou Sirf Woh Nahi Roteen......

Aankhain Bhi Barasti Hain,

Khirkiyan Bhi Roti Hain.....


"2 Ajnabi dost"
 sAzA-E-Mout


Larka ....... Larki

Larka ....... Larki
 
 
 
 
 
 


LARKA_

Milli ho muddat ke baad piyam-e-muhabat le lo
choom lene do in honton ko jaame-e-ulfat de do
pass mere jo hey tumhare liye woh chahat le lo
milli ho muddat ke baad ..



LARKI_

Le lo apni bahoon mein mujhey apni chahat de do
jiss ki tamanaa hey mujhey tum woh rahaat de do
meri ho jo sirf meri, mujhey woh aik raat de do
le lo apni bahoon mein mujhey apni chahat de do



LARKA_

Aik pal nah aik raat sari umar tere naam karta hoon
hussan ki devi ho tum hussan ko salam karta hoon
kabhi khtam jo nah ho koi essi mujhey saaht de do
milli ho muddat ke baad....



LARKI_

jab bhi tum mujhey gale se apne laga lete ho
dil mein mere koi chupi omang jagga dete ho
baddan mein mere tum aik aag si lagga dete ho
jiss se bujh jaaey yeh agg woh barsat de do
le lo bahoon mein ..



LARKA_

gale se apne jab bhi tumhein lagaata hoon
jaane mein kin vadiyon mein kho jaata hoon
piyar ki raha mein mit ke ammar ho jaaon mein
apne piyar se tum mujhey essi koi shanakhat de do
milli ho muddat ke baad .......



LARKI_

Aoo aik doojey mein kho jaein hum
hamesha ke liye aik ho jaein hum
do meri ankhon ko aik nai chamak tum
aur mujhey tum ik nai muskarahat de do
le lo apni bahoon .................... ......



LARKA_

dil mein mere kiya hey isse samjho tu sahi
chahata hoon mein kiya iss ko boojho tu sahi
jo keh na saka ab tak woh keh paon tum se
tum mujhey essa hosla aissi jurahat de do
milli ho muddat ke baad .................... ...........



LARKI_

Tumhare dil mein hey kiya janti hoon mein
khud apne dil ko bhi issi raha pati hoon mein
tum se chupane ki bhi qudrat nahein mujh mein
aur tum se kuch keh bhi nahien pati hoon mein
koi essi chaal chalo keh mujhey maat de do
le lo apni bahoon..

"2 Ajnabi dost"
sAzA-E-Mout

Suno Larki. . . . ./

Suno Larki. . . . ./





Suno Larki. . . . ./
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain

Suno Larki


Meri Mano
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi

Suno Larki

Meri Mano

Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna



"2 Ajnabi dost"

 LoVE's  PAin

Shukriya Shukriya

Shukriya Shukriya
dard jo tumne diya

Yeh khata humse hoyi
dil jo bus tumko diya
Na koi shikwa gila
tumse oh bewafaa
Pyar toh tha hi nahi
pyar jo tumne kiya

Shukriya Shukriya
Dard jo tumne diya

roh bhi na payoon
ab toh tanha raaton mei
aansoo bhi na chore tumne aankhon mei
zakhm dia hai aisa bhool na payoon tumhe
mar jayoon ga main toh teri yaadon mei

Shukriya Shukriya
zakhm jo tumne diya
Shukriya Shukriya
Dard jo tumne diya

apna keh k jab se tumne loota hai
kia mai boloon yeh dil kitna toota hai
toote dil ka har tukra yeh kehta hai
pyaar na karna, pyar toh bus eik dhoka hai

Shukriya shukriya
dil ko jo tor diya
yeh khata humse hoyi
dil jo bus tumko kiya
na koi shikwa gila
tumse oh bewafaa
pyaar toh tha hi nahi
pyaar jo tumne kiya

Shukriya Shukriya
Dard jo tumne diya


"2 Ajnabi dost"
 sAZA-E-Mout

mujhe yun chor ker...

 
mujhe yun chor ker...












Mujhe yaqeen hai

agar ussay maloom hota..

k mairi aankhon k sard teh-khaanon main

aana-o-khuddari ki gehri chaadar k peechay

uss k liye

muhabbat-o-khuloos k bekaran samandar hai

toh voh...

mujhe yun chor ker...

Kabhie na jata!



"2 Ajnabi dOst"
 sAzA-E-Mout