Apr 5, 2010

main aik kanch ki gurya

main aik kanch ki gurya
hawa-e-daher ki zad main
kabhi toti tou kabhi bikhri
main waqat ki ankh main thara howa
wo bay rang sa ansoo
kay jis ki manzilain zameen ki panhanyana tharin
main angan ki der o dewar per thara howa
aik ghiza zad mosam
jisay koi dekhna chahay aur
na khohish ho chonay ki
main aik kanch ki gurya
main bay rang sa ansoo
main aik ghiza zad mosam
magar roko , suno aur dekho
main insan bhi tou hoon
meray ahsas kay zakhmi badan ko
naram lafzoon ka marham do
meray bay rang hatoon ko
kabhi tou koi rang day do
mohabat na sahi ,
magar itna hi ker do tum
faqat aitbar ka aik lazawal pal
mujhay day do , mujhay day do
main aik kanch ki gurya
main aik ghiza zad mosam
kho gai hoon dunya ki wasatoon main
dhoondti hoon apnay aap ko in hi wasatoon main
main aik kanch ki gurya
main bay rang sa ansoon
main ghiza zad mosam
bas itna ker do kay
faqat aitbar ka aik lazawal pal
mujhay day do
mujhay day do!!!!



"2 Ajnabi Dost"
No OBbJeCtiOn

"Ussay Janay Ki Jaldi Thi"

"Ussay Janay Ki Jaldi Thi"

yunhi baaton hi baaton main...
mujhay uss ne bataya tha....
mohabbat karnay walay piyar main dhoka nahi kartay
koi jab baat karta ho tow ussay toka nahi kartay
jissay janay ki jaldi ho ussay roka nahi kartay
yunhi baaton hi baaton main...
mujhay ab yaad aya k ....
ussay janay ki jaldi thi........
 
 
"2 Ajnabi dost"
No OBbJeCtIoN 

Woh kehti thi.....!

Woh kehti thi.....!
Jaein ja ker shirt utarein
Doseri pehnein
Yeh to match nahi kerti hai
Jaein ja ker tie lagaein
Purple tie
Shoes to maine raat hi polish ker dale thay
Phir yeh aapne kyun pehne hain
Dekhein sox bhi theek nahi hain
Phir main yeh sab kuch ker k chalne lagta
Uss k honton pe kiss kerta
Aur usse baahon mein bharta
Masnoi ghabrahat uordh k sargoshi mein mujhse kehti
Thehrein thehrein
Hoon......n....... yeh khushboo
Thorda sa perfume toh ker lein
Mana aap buhat saada hain lekin jaana!
Office jaane se pehle toh
Aapne baal banaya kijye
AUR AB
Me'eli shirt aur ud'rah kaaj
Me'ele collar, button khule hain
Tie nahi hai, shave bardhi hai
Baal uljhe hain
Aankhein neend se bojhal hain aur
Jooton per bhi gard jami hai
Iss hulye mein ghar se nikla toh yaad aaya
WOH KEHTI THI.............!
 
 
"2 Ajnabi dost"
No ObBjEcTiOn