Aug 18, 2010

Ye Karain Ya Wo Karain

Ye Karain Ya Wo Karain
Aisa Karain Waisa Karain,

Zindagi Do Din Ki Hai
Do Din Main Hum Kya Kya Karain,

Jii Main Aata Hai K
Dain Parde Ka Parde Se Jawaab,

Hum Se Wo Parda Karain 
Dunia Se Hum Parda Karain,

Sun Raha Hun Kuch Lutaire 
Aa Gaye Hain Sheher Main,

Aap Jaldi Band Apne Ghar Ka
Darvaaza Karain,

Is Puraani Bewafa Dunia Ka
Rona Kab Talak,

Aaiye Mil-Jul K Ek Dunia 
Naee Paida Karain...~*~/


("PleaSe HoLd mY SouL")




"2 Ajnabi dosT"
WantEd LArkA

toh kuch aur sochooooon

tumhaare hijrr ki sadyaaaan 
tumhare wasal k din,

main is shumaaaar se niklooon
toh kuch aur sochooooon....!



"2 Ajnabi dost"
WaNtEd LArkA 

Milne ka waada

Milne ka waada
GurIyA k moonh se to nikal hi gaya,

Mainay poochi jaga
to hans k kaha khawab main aa jana. . . . . /



"2 Ajnabi dost"
GurIyA KiLLEr

Baarish

("Baarish  ")

Ek Hi Baarish Baras Rahi Hai
Chaaroon Jaaneb,

Baam O Dar Par,

Shajar Hejr Par,

Ghaas Ke Ujle Naram Badan
Aur Teen Ki Chat Par,

Shaakh Shaakh Mein Ugne
Waale Barg O Samar Par,


Lekin Is Ki Dil Mein Utarti 
Mugham Si Aawaaz Ke Andar,

Jaane Kitne Aawaazen Hain,

Qatra Qatra Dil Mein Utarne,
Pahelne Waali Aawaazen,

Jin Ko Hum Mehsoos To Kar Sakte Hain,

Lekin,
Lafzoon Mein Duhra Nahin Paate...

Jaante Hain, Samjha Nahin Paate,

Jaise Pathjhad Ke Mausam Mein
Ek Hi Paid Pe Ugne Waale,

Har Patte Par Aisa Ek Samaa Hota Hai,

Jo Bas Us Ka Hi Hota Hai,

Jaise Ek Hi Dhun Ke Andar 
Bajne Waale Saaz,

Aur Un Ki Aawaaz,

Khidki Ke Sheeshoon Par Padti
Boondoon Ki Aawaaz Ka Jaadoo,

Rim Jhim Ke Hahang Mein 
Dhal Kar Sargoshi Ban Jaata Hai,

Aur Lahoo Ke Khulye Us
Ki Baaten Sun'ne Lag Jaate Hain...

 Maazi, Haal Aur Mustaqbil, 
Teenoon Ke Chehre,

Gud Mud Se Ho Jaate Hain,

Aapas Mein Kho Jaate Hain,

Chaaroon Jaanib Ek Dhanak 
Ka Parda Sa Lehraata Hai,

Waqt Ka Pahiya Chalte Chalte,

Thodi Dair Ko Tham Jaat Hai,

Aaj Bahut Din Baad Suni
Hai Baarish Ki Aawaaz,

Aaj Bahut Din Baad Kisi
Manzar Ne Rasta Roka Hai,

Rim Jhim Ka Malboos Pahen Kar
Yaad Kisi Ki Aayi Hai...

Aaj Bahut Din Baad Achanak
Aankh Yoon Hi Bhar Aayi Hai,

Aankh Aur Manzar Ki Was'hat Mein
Chaaroon Jaanib Baarish,

Aur Baarish Mein,

Door Kahin Ek Ghar Hai Jis Ki,


Ek Ek Eent Pe Tere Mere
Khuwaab Likhe Hain,

Aur Us Ghar Ko Jaane Wali
Kuch Galiyaan Hain,

Jin Mein Hum Donoon Ke Saaye
Tanha Tanha Bheeg Rahe Hain,

Darwaaze Pe Qufl Pada Hai
Aur Dareeche Soone Hain...

Deewaaroon Par Jami Hui 
Kaayi Mein Chup Kar,

Mausam Hum Ko Dekh Rahe Hain,

Kitne Baadal, Hum Donoon
Ki Aankh Se Ojhal,

Baras Baras Kar Guzar Chuke Hain,

Ek Kami Si,

Ek Nami Si,

Chaaroon Jaanib Pahel Rahi Hai,

Kahee Zambne Ek Hi Pal Mein,

Ba-Hum Mil Kar Bheeg Rahe Hain,

Andar Yaaden Sookh Rahin Hain,

Bahar Manzar Bheeg Rahe Hain...""/
Happy RainY Day.. ..





 "2 Ajnabi dOst" 
*¤"HEarT StoLer"¤*..

Muhabbat Kiya hai?

Muhabbat Kiya hai?
 
Muhobat" wo ehsas hai 
jo aik Dil se dusre Dil ko hota hai,

Muhobat karta to har insan hai
Lekin us ko nibhata har koi nahi,

Khush naseeb hain wo log 
jin ko koi sucha Humsafar milta hai,

Muhobat ko jo nibhate hain
Un ko mera Salaam hai,

Aur jo beech raste me chorr jate hain
Un ko "Mera" ye peigham hai

Wada-e-Wafa karo to phir khud ko fanna karo
Warna kisi ki zindagi Tabbha to na kro..!



"2 Ajnabi dost"
Mr.AtTitUdE 

Sath Chaheay Hamesha K Leay

GurIyA nAy Apna
Hath Barhaya He Faqat Muje Thamne K Leay"


"Par GurIyA Ko May  Ye Kese Kahon?
K Muje Hath Nhi,Sath Chaheay Hamesha K Leay"..


"2 Ajnabi Dost"
 BabY DoLL 

Mere Saath Tha

<Magar Ek Sitaara-E-Mehrbaan>

Kahi Chand Dhund Me Kho Gaye,

Kahi Jaag Jaag Ke So Gaye,

Magar Ek Sitaara-E-Mehrban,

Jo Gawah Tha,

Sar-E-Shaam Se Dam-E-Subha Tak,

Kisi Visl Rang Si Raat Ka,

Kisi BeKinaar Se Lutf Ka,

Kisi Mushkbaar Si Baat Ka,

Mere Saath Tha,

Mere Saath Hai...!



   "2 Ajnabi dost"
ALonE bUt HaPpY 

Ae Meri Hum Raqs

(" j ")

Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le, 
Zindgi se bhaag kr aaya hun mein,

Dar se larzaan hun kahin aesa na ho,
Raqs'gaah k chor darvaze pe aa k zindgi,

Dhond le mjh ko nishaan paa le mera,
Or jurm-e-aesh krte dekh le.

Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,
Raqs ki ye gardishen,

Ek mubham aasiya k daur hen,
Kesi sargarmi se ghm ko rondta jata hun mein,

Jii me kehta hun k haan,
Raqs'gaah me zindgi k jhaankne se peshtar,

Kuflaton ka sang'reza ek b rehne na paaye.
Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,

Zindgi mere liye ek khoon bheRiye se kam nai,
Ae haseen-o-ajnbi aurat osi k dar se mein,

Ho rha hun lamha lamha or b tere qareeb,
Jaanta hun tu meri jaan b nahin,

Tjh se milne ka phir imkaan b nahin,
Tu meri aarzuon ki magr tamseel he,

Jo rahi mjh se gurezaan aj tak..
Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,

Ehd-e-paarina ka mein insaan nai,
Bandgi se is dar-o-deewaar ki,

Ho chuki hen khwahishen be'soz-o-rng-o-natavaan,
Jism se tere lipat skta to hun,

Zindgi pr mein jhapat skta to hun,
Isliye ab thaam le,

Ae haseen-o-ajnbi aurat mjhe ab thaam le...~*~/



"2 Ajnabi dost"
..*¤"HEarT StoLer"¤*..

Kiya Adawat Hy muj Say

Naa Jany Zamany Wal0n k0 Kiya Adawat Hy muj Say,

GurIyA. . . . /
  
K Jis Chez k0 m Chahon
Sab Us K TalabGar h0 Jate Hain..



"2 Ajnabi doSt"
msing Y0u GurIyA

KuCH KeHNa THa

KuCH KeHNa THa, 
uSy BHi auR MuJHe BHi

uS Ne ye CHaHa MieN KuCH KaHoN,

MeRi yeH ZiD Ke BaaT Wo KaRe.

yeHi SoCHTy SoCHTy 
ZaMaNe BeeT Gaye,

Na uS Ki aNa TooTi,
auR Na MeRi ZiD


uS Ki aNa FaSeeL THi, 
ToH MeRi BHi CHaTTaN,

aNa auR ZiD Ke iSSi TaZaD MeiN,

SaFeR-e-ZiNDGi youN Hi RaWa RaHa.

WaQT KaT-Ta RaHa, DaRD BaRHTa RaHa,

AuR SaFeR iKHTe-TaM Ko PoNHCHa

iKHTe-TaM e SaFeR ye RaHa.

Es MeRi aNKHoN MeiN HaLKi Si NaMi ,


AuR SHayeD uS Ki ZiNDGi 
MeiN THoRi Si KaMi.

uS Ki aNa SHiKaST KHuRDa,

auR MeRi ZiD ReZa ReZa ..........





"2 Ajnabi dost"
  (^16'sL^)