Dec 19, 2009

Wo tera rothna ………..

Wo tera rothna ………..





Wo tera rothna mujh say

Mera tujh ko mana laina

Mohabat ki nishani hai

Galay mujh ko laga laina

Mohabat jis say hoti hai

Use par maan hota hai

Kahin main roth jaon tou

Mujhay tum bhi mana laina

Ana say dore hi rahna

Kay ye sab koch mita dai gi

Ana kay khol say khud ko

Har surat bacha laina

Mohabat kay samandar main

Kabhi tufan bhi uthtay hain

Is tofan main jana mujhay

Kashti bana laina

Agar dubain gay hum donon

Tou aik sath dubain gai

Mera tum say yen waada hai

Magar tum bhi nibha laina….


"2 Ajnabi dost"
  lovE's PAin

Mujhy maloom hai tum bhi




Mujhy maloom hai tum bhi
Meray bin rah nahi saktay
Main yeh bhi jaanta hoon
Tum ko haar achi nahi lagti
Magar jaana'n
Muhabbat main anna to haar jati hai.....!



"2 Ajnabi dost"
  lovE's PAin

Kya bohat Zaroori hai?

Kya bohat Zaroori hai?




Khwaab posh aankhon ma
Aansu'on ka bhar jaana
Hasraton ke saahil par
Titliyon ka mar jaana
Habs ki hawaaon ma
Khushbu'on ka dar jaana
Dil ke garm sehra ma
Hash'r hi bapa hona
Dard la'dawa hona
Kya bohat Zaroori hai?
Ab tera juda hona



"2  Ajnabi Dost"
    LovE's PAiN

meri aankhoon pay marta tha

 meri aankhoon pay marta tha








meri aankhoon pay marta tha
mujhay khoonay say darta tha
na janay shakhs tha woh kaisa
mujhay khoonay say darta tha
mujhay jab bey waqt milta tha
yehi bar bar kehta tha
suno!.......
agar main bhool jaon to
agar main rooth jaon to
kabhi wapis na aoon to
bhula pao gay yeh sab kuch
yon hi hanstay raho gay kya
yon hi sajtay raho gay kya
yehi batain hain bas us ki
yahi yaadain hain bas us ki
mujhay hai bus pata itna
mujhay woh pyaar kerta tha
mujhay khoonay say darta tha
laikin na janay kyoon
woh izhar kernay say darta tha



"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin