May 6, 2010

Bhalay dinon ki baat hai

Bhalay dinon ki baat hai bhalai si ik shakal thi
Na ye ka hussan taam o na Dekhne me aam si
Na ye k wo chale to kahkahsah si RahGuzar lagy
Magar wo sath ho to bhalay bhalay sa safar lagy
Koi b rut ho us ki Chhat fiza ka rang noor thi
Wo garmiyon ki Chahaon thi wo sardiyo ki dhop thi
Na aisi khus Labasiyan k Sadgi gaila kare
Na itni be takalufi k aaina haya kary
Na Ashiqi janon thi k zindagi azab ho
Na is qadar kahtohr pan k dosti kharab ho
So ik roz kya hua wafa pe behas chehr gai
Mein ishq ko amar kaho wo meri zid sy cher gei
Mein ishq ka aseer tha wo ishq ko kafas kahy
K tamam umar k sath ko bad az-ba-az kahy
Hijr shajar nahi ha ka hamish pa-ba-gul rahy
Na dhol h k na rasiya gale mein mustakil rahy
Muhabton ki wostain humri dast-o-pah mein hain
Bas yahi ik nisbatin dar sy sajan bewafa mein hain
Tumhari soch jo b ho mein is mezaj ki nhi
mujy wafa sy baer hai Ye baat aj ki nahi
Na us ko mujh per maan tha na mujy us pe zon tha
Jo ehad hi koi na ho to kya gum-e-shagistagi
So apna apna rasta hasi Kushi badal liya
Wo apni rah chal Pari
Mein apni rah Chal diya



[JiNNU RidEr]
03132174713