FRODi LARkA
when 'I' is replaced by 'We'.. even 'Illness" becomes "wellness"!!! :))
Dec 7, 2011
dEdic8 to jiyAa
Yehi Karam Nawazi Us Ki Mujh Pe Kam Hai Kia !!
Ke Khud Tu Door Hy Yaade,n Tu Paas Chor Gaya !!
Jo Khawishen Thi Kabhi Hasraton Mei,n Dhal Gai Ab !!
Merey Labo,n Pe Wo Ek Lafz Kash Chor Gaya !!
Ye Mera Zarf Hy Ik Roz Us Ny Mujh Sey Kaha !!
Ky Aam Logon Mei,n Ek Tujh Ko Khas Chor Gaya !!
Sard Mosam Sey Mujhey Isi Liye Tu Nafrat Hai !!
Inhi Raaton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gaya !!
"2 Ajnabi dost"
dEfAULtErrrrrrrrrrr
Yeh Jo Zindagi Ki Kitab Hai
Yeh Jo Zindagi Ki Kitab Hai
Yeh Kitab Bhi Kiya Kitab Hai
Kahin Ek Haseen Sa Khawab Hai
Kahien Jaan Laiwa Azab Hai
... ...
Kahien Ansuon Ki Ha Dastaan
Kahien Muskarahaton Ka Bayan Hai
Kai Chehre Is Mein Chupay Huwe
Ek Ajeeb Sa Ye Naqab Hai
Kahien Kho Diya Kahien Paa Liya
Kahien Ro Liya Kahien Ga Liya
Kahien Cheen Leti Hai Her Khushi
Kahien Meharban Be-Hesaab Hai
Kahien Barkatoon Ki Hain Barishen
Kahien Tashnagi Be-Hesaab Hai..
"2 Ajnabi dost"
Subscribe to:
Posts (Atom)