Dec 31, 2009

*.*.* Guzra Saal*.*.*

*.*.* Guzra Saal*.*.*
























Us Ke Nein they tara jesey

Us K Bol Sitara Jesey

Beech Samand Kinara Jesey

Aik nazar Ishara Jesey

Khiltey phool Sahara Jesey

Bin Boley Pukara Jesey

Ab Miley Hu Tum Tu Chup Hun

Kaash K Pocho Harjai Tum

Tum Bin Saal Gizara Kesey....??? 


"2 Ajnabi dost"
  LovE's PAin
 

*.*.* ye kesa saal guzra hai *.*.*

*.*.* ye kesa saal guzra hai *.*.*


















Abhi to saal guzra tha

Abhi tum saath thay mere

Isi khaamosh saahil per

bohat gum sum se bethay thay

Kisi tasveer jese thay

Agar main sach kahon jana

Meri tabeer jese thay

Jahan per tum ne khagaz ki

Bohat choti c nao ko

Bari chahat se himmat se

Samandar mein utara tha

Bohat dilkash nazara tha

Tmhare hosle per kis qadar

heraan ye lehrain

Tumhain hairat se takti then

Bipherti thin machlti then

Magar tum un se bey perwa

bas apni soch mai gum thay

Hamari aankh mai tum thay

Tumhe kuch yaad hai picnic per

hum ne geet gaya tha

Tumhain dil mein basaya tha

Jahan hum tum se milay thay

Or phir aankhon he aankhon mein

Kai sadyaan guzaari thein

Meri saansain tumhari thein

Abhi to saal guzra tha

K jab tum mere shaano per

Achanak haath rakh ker

chupke chupke mujh se kehti thi

Mohabbat to ibadat hai

mohabbat to sa'aadat hai

Mohabbat faiz ka daria hai

jise din raat behna hai

Hamain ek saath rehna hai

Ye dukh sukh saath sehna hai

Abhi kuch dair he pehle

Tumhari aankh k jhil mil

tarayHum se kehtay thay

hamara naam lete thay

hamain peghaam dete thay

Tumhara saath na choothay

Hamara khwaab na tootay

Magar ye saal kesa hai...??

Kisi ne bhi nahi poocha

hamara haal kesa hai..??

Wohi saahil wohi mosam

wohi qissay wohi rastay

Wohi sab kuch to hai jana

Magar ab tum nahi meray

Bas aik ehsaas rehta hai

Gaya waqt lamhe lamhe

aansoon k saath behta hai

Ye kesa saal guzra hai..??

Ye kesa saal guzra hai...???


"2 Ajnabi dost"
  LovE's PaiN 

sal bhi udaas raha rooth kar gaya


sal bhi udaas raha rooth kar gaya
tujh se mile baghair december guzar gaya



"2 Ajnabi dost"
  sAzA-E-Mout
 

kaisay kehtey thay Aaa sajan!

kaisay kehtey thay Aaa sajan! 






kaisay kehtey thay Aaa sajan!  k mujh sey bicharr kar jii naa paao ghay tum???
zara socho kitni baar manaya hai naya saal mujh sey bicharnay k baad???


"2 Ajnabi dost"
 sAzA-E-Mout 

humaray haal pe roya December

humaray haal pe roya December







humaray haal pe roya December
woh daikho....toot ke barsa December
guzar jata hai sara saal yooN to...
nahiN kat'ta magar...tanha December
bhala barish say kiya sairaab hoga!
tumharay wasl ka piyasa December
woh kab bichra?...nahiN ab yad..lekin
bas itna ilm hai...ke tha December
milan ke chand sikkay daal ismaiN...
mere hathoN maiN hai kaasa December
yooN palkaiN bheegti rehti haiN ... jaisay
meri aankhoN maiN aa thehra December
jama poonji yehi hai umr bhar ki
meri tanhaai aur....mera December
sabab na pooch mere aansuoN ka...
hai pehlay hijr ka... pehla December
maiN in yadoN say bach ke jaooN kaisay?
ke meeloN door hai phaila December..
meri ankhoN say gar daikho ...to jano..
ke hai barsaat maiN jalta December
abhi tak kohr maiN dooba hai aangan..
abhi tak yad hai... pichla December..

 

"2 Ajnabi dost"
 sAzA-E-Mout 

Bey Bas Larki...!!!

Bey Bas Larki...!!!
 
 
 

 
 

ik kaamni aur nazuk sii larki
taqdeer sey larr rahi hai
apnay bikhray khwaboN k raizay chuntay
dil mein ro rahi hai
uss ki khata yeh hai k
woh apnay dil mein kissi ko
dhadkan ki tarah basa chuki hai
jo bina sochay samjhay hi
apni qismat aazma chuki hai
ik khush kin ehsaas k tabay
aankhoN mein kuch sapnay saja chuki hai
woh dheeray dheeray
sulag rahi hai
woh roz jeeti hai, roz marti hai
lekin!
uss k apnay uss ki kafiyat sey
bey khabar hain
woh uss ki chup ko, uss ki udaas masoom aankhoN ko
bes uss mein ik "change" samjhtay hain
aye Kaash!
woh larki itni to bey bas naa hoti
ussey itna to haq milta
k
woh apni zindagi apni marzi sey guzar sakti
lekin hayrat hai k aaj k dour mein bhi
yeh sab sirf socha hi jaa sakta hai!!!
jisay woh chahti hai mil jaaye to moujza
naa milay to taqdeer hai
woh pagal abhi bhi akeli kharri
yehi soch rahi hai
k!
iss baar jeet kis ki ho ghi
moujzay ki ya qismat ki???

uNiQuE sMiLe 
 

tumhain paana chahti hoon

tumhain paana chahti hoon






tumhain paana chahti hoon par paa kar khonay sey darti hoon
jeevan aik aazmayish hai tujh bin jeenay sey darti hoon

jub sey suna hai mohabbat dhokoN ki bhi duniya hai
"bohat mohabbat hai tum sey"yeh kehnay sey darti hoon

ajab dar hai iss dil mein k mujhe tum chorr jao ghay
dekho aisa nahin karna aisay bichharnay sey darti hoon

zindagi mein khaayi hain main qadam qadam par thokrain
abhi woh zakham taaza hain aur khaanay sey darti hoon

bohat ajeeb sii hoon main,bohat pagal saa hai dil mera
darti hoon apni sochoN sey main ab sochnay sey darti hoon

kahin aisa naa ho jaaye mujhe tum chor jao bhool jao tum
naa koi suraagh ho tera main aisay khojnay sey darti hoon

apnay aansuaoN k samandar mein khud hi doob jaati hoon
rona aaye bhi ab agar to main ronay sey darti hoon

aakhir kya hoon main,aisi kyun hoon main aye Nayab!
jisay bohat chaha hai maine,ussey hi aur chanay sey darti hoon



uNiQuE sMiLe