Wo Kitne Haseen Lamhay Thay...
Wo kitne haseen lamhay thay
jab hum tum saath hote thay,
wo geelay neem k neechay,
geelee ghaas pe baitha,
chandnee raat mai,
mai tumhare zulfain gina karta tha,
aur tum madhosh c masoom c ,
meri soorat taktee thhe,
Wo kitne haseen lamhay thay
jab tum mere pehlo mai baithhe,
un udaas palon ko yaad kia karti thhe,
jab tum mujh se rootha karti thhe,
kuch naraz naraz c tumhare soorat,
mujh mai khalish se paida kerti thi,
jaisey poori dunya mujh se rooth gayee ho,
Wo kitne haseen lamhay thay
jab mai tumharay kandhay pe sar rakh k,
roya karta tha,
aur dua karta tha,
k hum kabhee juda na hoon,
tum bhi kia khub larke thhe,
tum bhi ro dia karte thhe,
phir hum dono,
ek doosray k,
aansoo ponchha kartay thhay,
aur phir achanak khilkhila k,
hansne lagtay thay,
Wo kitne haseen lamhay thay
"2 Ajnabi dost"
LoVE's PAin