Mar 24, 2010

"Tum Rehti Ho !!!!"

"Tum Rehti Ho !!!!"

itni bari in dunyaaon main
apne naam ki takhti waali aik imaarat
kitnay dukhon ki eenten chun kar
ghar banti hain.......
pathar pathar jorr k dekho
mai ne bhi ik ghar hai banaya
rangon,phoolon,tasve eron se iss ko sajaya
darwaaze ki loh per apna naam likhaaya
lekin iss k har kamray main
"tum rehti ho"
 
 
"2 Ajnabi dost"
ME & YOU 

Muhabat Ussey Bhi Thi

Zikar-e-Shab-e-Firaaq Say Wehshat Ussey Bhi Thi..!!
Meri Tarah Kisi Say Muhabat Ussey Bhi Thi...!!

JiNNU

Zindagi se nibat raha hon abhi
Moot kiya hey meri bala janey 



Us se bichra hon tu

Us se bichra hon tu filhal sukon hai dil ko
aur kuch roz guzar jain tu....
Phir baat karon!
Zindagi uski rafaqat main jo guzri kya thi?
Zindagi thi ya bhayanak sa koi sapna thi
khwab tu khwab hain
achey bhe tu hoty hon gay
mere hisay ke haseen khwab churaey kis ne
mere apne thay mujh se paraey kitney?
Akhir ik roz jaza aur saza bhe tu ho gi
main jo insaf ka talib hon
tu kyon fiqer karon....
Maslihat ka hai takaza ke yunhi
khamosh rahon
aur
dekhon mere khwab haseen thay bhe ya nahe?
Ya
kamzor si takhliqe thay wo ke....
Wo aaya bhe aur chala bhe gaya
ab tu ye sazza hai ke
na usey dekhon na baat karon
shayaad!
Ho is terha meri jaan ko sukon
sukon!
Jo roth gaya hai mujh se
na neend hai na khwab hain
main kya dekhon main kya soochon?
Main kis se sawaal karon ke
akhir kyoun??????


"2 Ajnabi dosT'
  I HATE GIRLZz

tera aks chalakta hay.......

Aaj socha k ik nazam likhon
jiss ka unwaan kuch bhi ho, koi bhi ho
jessay sochty sochty soch ka
zaavia badalta hay
aaj ussi tarah is nazam ka
unwaan sochty lamhay bhar ko
tera khiyaal aayaa
keh, kiya likhon jo tujy amar kar don
apni ankhon main ubharta kajol kar don
apni sooni kalai ka kangan kar don
baar haa hum nay chaha k
apny seenay main chupa ker dharkan kar don
phir khiyal aaya keh
unwaan jo bhi ho
socha ka zaavia jesay bhi badalta ho
meri kalam ka her nukta
sirf,
teri janib hi rukta hy keh
dill or dharkan
ankh or kajal
kalai or kangan in sab main
tera aks chalakta hy
aaj phir likhaty likhtay
hum nay jaan liya keh
is nazam ka unwan kia hay
wohi hy mera wajood k jiss main
bas,
ji



"2 Ajnabi Dost"
   ME & YoU

Sun lia hm ne faisla tera

Sun lia hm ne faisla tera
orr sun kr udaas ho bethy
zehan chup chup, ankh khali hy
jesay hum kainaat kho bethy

dil yeh kehta hai, zabt lazim hai
hijr k din ki dhoop dhalnay tak
aitaraf-e-shikast kia krna?
faisly ki ghari badalne tak

abb charaghan karain hum ashkon se
ya manazir bujhy bujhy dekhain
ik taraf tu hai, ik taraf dil hai
dil ki manain k abb tujhy dekhain?

tujh ko paya to chaak see lain gay
ghum bhi amrat samajh k pee lain gy
werna yun hy k daman-e-dil main
chand sansain hain, gin k jee lain gy 



"2 Ajnabi dost"
  HuM TuM

jinnu

www.jinnurider.tk