Feb 15, 2010

Kabhi Tum Ne Socha Hai ?

Kabhi Tum Ne Socha Hai ?

Kabhi tarpaye ghum-e-zeest mujhay
Tarap kar tum bhi roti ho
Lag kay dewaar kay saath
Tumhara khud say hum kalaam hona
Keh yeh sehmay huay lamhay
Kyoun chup chaap guzar jatay hain
Kabhi tum nay bhi socha hai?
Keh mujhay dekh kar teri ankhoon main
Mohabbat jaag uthti thi
Ban kay dulhan ki tarha
Nazar har raat aati thi
Kabhi tum nay bhi socha hai?
Maray baray main aab tum nay
Kyoun raye badal li hai
Har rooz jab shaam dhalti hai
Main aksar sochta rehta hoon
Aur thak haar kar bay'chain ho jata hoon
Kabhi tum nay bhi socha hai?
Keh hain hum tum juda aab tak...
Rahain gay is tarha kab tak???


"2 Ajnabi dost"
 i HATE GirLzzzz 

Suno ! Main Muskurana Chahti Hoon



Usse Main Bhool Jaana Chahti HoonSuno ! Main Muskurana Chahti Hoon
Dukhi Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hai
Mager Ab Gungunana chahti Hoon

Purane Sab Taluq Toor Ker Ab
Nayi Duniya Basana Chahti Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un se Jaan Churana Chahti Hoon

Woh Sab Tohfe Woh sookhe Phool Saare
Main Ab Un Ko Jalana Chahti Hoon
Main Utna Pass Aati Hoon Tumhare
Main Jitna Door Jaana Chahti Hoon

Mere Hamdam Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Tere Pass Aana Chahti Hoon
Ubharne Ki Koi Khawhish Nahi Hai
Ke Ab Main Doob Jaana Chahti Hoon

SuNoooooooooooooo


Kasauti Zindagi Ki

Aaeina Toot Jaaye
Bikhar Jaata Hai Har Chehra
Magar Jab Toot'ta Hai Dil
To Hoti Hai BaRi Mushkil
Na Milta Hai Manjhdhaar Us Ko
Na Milta Hai Usse Saahil
Zindagi Dar'Badar Ki
Kasauti Zindagi Ki 



"2 Ajnabi dost"
  i HATE GiRlZzz
 

tery hath alag meray hath alag

thee sarari bat lakeeron ki

na chahat kay jazbat alag
na khushion kay lamhat alag
na phol say thee mehkar alag
na guzri koi bahar alag
na hontoon pay muskaan alag
na dill kay ehd-o-peman alag
na deen alag na imaan alag
na sur sangeet , naghmat alag
thee sari bat lakeeron ki
tery hath alag
meray hath alag
 
'2 Ajnabi Dost"
 i HAtE GiRlZz