Jan 11, 2010

kaha kerti ho tum aksar

kaha kerti ho tum aksar





kaha kerti ho tum aksar
mujhey ek nam aisa do
pukaro jis sey tum mujh ko to yun
mehsoos ho jaisay
tumhari shairai sari
meri tareef thehri hai
jissay sun ker
main khawabon ki si kafeeyat main kho jaon
hawaon main uroon jaisay
jissay sun ker yeh dil kiya rooh tak sarshar ho jaye
jisay sun ker meri tashna labi seerab ho jaye
jissa sun ker lagay aisay kay barish jaisay phhlon ki
badan ke her kali jaisay ba-andaaz-e-zikar mehkay
jissay sun ker lagay aisay
key madham sey meethay surron main teerta meetha mahdur naghma
guzartay waqt key lamhay jissay sun ker thehar jayen
saman madhosh ho jaye
jissay sunker baharain jatey jatey phir sey loot ayen
mujhey ek naam aisa do"
so ay meharban larki!
main aksar sochta hoon koi aisa naam tum ko doon
key jo mansoob ho tum sey
to tum ko javeedan ker day
ho koi nam aisa jo
mujasma-e-hussan-e-fitrat ho
buhat hi khoobsurat ho
kisi nazuk pari jaisa......
key jo hussan-e-jahan rang-o-boo ka istarra ho
teray malkooti peekar ko magar tashbeeh kis sey doon
agar main gul kahon tum ko?
magar phhool tu murjha ky aakhir sokh jatey hain!
agar tara kahon tum ko?
sitarey toot ker laiken fiza main kho jatey hain!
kahon qaus-e-kaza laiken?
sabhi rang ekthay mil ker bhi,
tere ruuh sey chhalkti noor ki kirno ko na punchay!
hinna ka naam don tum ko?
magar rang-e-hina tu char din main roth jata hai!
agar badal kahon tum ko?
ghataon sey siwa laiken tere jazbat ki shidaat hai!
tumhain sawan kahon kaisay?
tumharey pyar ki barish tu her mausam barasti hai!
naseem-e-subha keh doon ya kahon baad-e-saba tum ko?
magar fitrat hawa ki tu azal sey bewafai hai!
teri waraftgi sochon, samander ki lehar keh doon!
magar mojjon ki tughiyani tu ek poonam ki shab tak hai!
teri aankhain agar sochon'tumhain may ka badal keh doon!
agar sayya kahon'jhoonka kahon'khushboo kahon tum ko?
magar tum tu mujasma ho!
buhat kuch sochta hoon main
tumhara naaam kiya rakhon.....?
kahon jadoo , chirag-e-raah ya manzil kahon tum ko?
kahon main justju 'koshish kahon ya phir dil kahon tum ko?
shafaq keh doon'sahar keh doon ya keh doon chandni tum ko?
agar khawahish kahon ya arzoo ya zindagi tum ko?
agar sahir kahon'nasha kahon ya be-khoodi tum ko?
ada keh doon'wafa keh doon, haya keh doon agar tum ko?
agar sahil kahon'kashti kahon ya nakhudha tum ko?
agar taqdeer ya inaam ya kismat kahon tumko?
agar guncha kahon' lala kahon ' nargis kahon tum ko?
kahon main jaan ya jana ya jaan-e-jaan tum ko?
agar jharna kahon'darya kahon'sagar kahon tum ko?
kiran keh doon , ghata keh doon ya phir rim jhim kehon tum ko
agar jugnu keh dpoon, shaula kahon' shabnam kahon tum ko?
agar sheesha kahon' moti kahon 'reesham kahon tum ko?
yeh sarey naam teri zaat key pehlu sehi laiken________
magar jachta nahin koi yeh sarey naam fani hain!
tumhara nam aisa hi..........
jo tum ko javidan ker day
tumhain poora bayan ker day
suno ay meharban larki!
buhat hi soch ker main ney
tumhara naam rakha hai
"mohabbat"____naam__ _ kaisa hai ?
"mohabbat" jo kabhi marti nahin



"2 Ajnabi dost"
  i HaTE GiRLz
 

No comments: