Dec 20, 2009

Agar may yeh janta

'*'*'Agar may yeh janta*'*'*


Agar may yeh janta
Tere pass Dil Nahi
Balke Seene may
sung e mur mur ka ik tukra hai
to meri jaan
kabhi na tum se dil lagata
kabhi na tum se pyaar kerta

Agar mujhe es ka elm hota
ke sabz ankhay
to bewafai ki hain alamat
kabhi na main
en main jhank ker
tum se
apni ankhon ko chaar kerta

Ager mujhe es ka ilam hota
ke teri zulfon k jaal main
main ulajh ke
phir na nikal sakon ga
kabhi na main
unn k saye main beth ker
gum apna qarar kerta

ager mujhe es ka hota ihsas
husan tera fareeb tha
khud meri nazar ka
kabhi na be ikhtiaar ho ke
main apni jaan o dil ko
tum per nisaar kerta

mager meri jaan
sach to yeh hai
haqeeqatain talakh hi sahi per
kadi jawani ke
garam khoon ki hararto main
tamam jazbaat andhy hoty hain
khawahisho ke ubalty lawey ke samnay
kuch nahi teherta
jo apny jazbaat ke samandar main doob jaye
hazar koshish kare
phir nahi ubharta

"2 Ajnabi dost"

   LovE's PAin

No comments: