Jab Tu Peda Howa Kitna Majboor Tha
Jab Tu Peda Howa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sochon Sey Bhi Door Tha
Hath Paaon Bhi Tab Terey Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Key Sapney Na Thay
Tujh Ko Ata Bus Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pee Key Kaam Tera Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha MAA Ney Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha MAA Ney Teri
Maan Key Saye Main Parwan Chalney Laga
Waqt Key Sath Qad Tera Barhney Laga
Aahista Aahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
Tujh Pey Sara Jahan Mehrban Ho Giya
Zor-e-Bazoo Pe Tu Baat Karney Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Hi Sanwarney Laga
Aik Din Ik Haseena Tujhey Bha Gayi
Ban Key Dulhan Woh Terey Ghar Agayi
Farz Apney Sey Tu Door Honey Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Boney Laga
Phir Tu MAA BAAP Ko Bhi Bhulaney Laga
Teer Baton Key Phir Tu Chalaney Laga
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladney Laga
Qayda Ik Naya Tu Phir Parhney Laga
Yaad Kar Tujh Sey MAA Ney Kaha Ik Din
Abb Hamara Guzara Nahi Terey Bin
Sun Key Yeh Baat Tu Tesh Main Aa Gaya
Tera Ghussa Teri Aqal Ko Kha Gaya
Josh Main Aakey Tu Ney Yeh MAA Sey Kaha
Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do
Jao Ja Key Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Martey Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro
Beth Kar Aahain Bhartey They Woh Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Huwa Na Asar
Aik Din BAAP Tera Chala Rooth Kar
Kesey Bikhri Thi Phir Teri MAA Toot Kar
Phir Woh Bhi Bas Ajal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi
Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya
Ashk Ankhon Main Liyey Woh Rawana Howi
Mout Ki Aik Hichki Bahana Howi
Ik Sukoon Is Key Chehrey Pey Chaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Iski Sajaney Laga
Muddatain Ho Gayin Aaj Boorha Hai Tu
Jo Para Touti Khatiya Pe Koora Hai Tu
Tere Bachey Bhi Abb Tujh Sey Dartey Nahi
Nafratein Hain Muhabbat Woh Kartey Nahi
Dard Main Tu Pukarey Keh O Meri MAAN
Terey DAM Sey ROSHAN They Donon JAHAN
Waqt Chalta Raha Waqt Rukta Nahi
Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi
Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
Dhondh Zor Tera Kahan Reh Giya
"2 Ajnabi dost"
LovE's PaiN
No comments:
Post a Comment