Dec 20, 2009

KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?”

KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?”
 








Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main nay jab us se
“Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hain
To phir kyon dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga”
Meray is aam say lehjay pay wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
“Yeh sab jo keh rahi ho khud ko yeh samjha bhi pao gi?”
Bohat hi jee kara kar ke
Main us dam muskuraii thi
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh payi thi
“Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi”
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?”



"2 Ajnabi dost"
  LoVE's PAiN

No comments: