Jan 10, 2011

Such kahoon

Such kahoon mujh ko ye unwan bura lagta hay
Zul'm sehta hua insan bura lagta hai

K...is qadar ho gaii masroof ye dunya apni
Ek din thehray to mehman bura lagta hay

Un ki khidmat to bohat door, bahoo baiton ko
Budhay maan baap ka farman bura lagta hay

Mairay Allah mairi naslon ko zillat say nikal
Haath paihlaye musalman bura lagta hay
Guzar chuka hay zamana wo inkisari ka
Kay ab mizaj bana lijiye shikari ka
Hum ehtaram e muhabbat main sar jhukatay hain
Ghalat nikal na mafhoom khak'shari ka

Wo badshah bana baitha hay muqaddar say
Magar mizaj hay ab tak wohi bhikari ka



"2 Ajnabi dost"
   ALONE

No comments: