("Baarish ")
Ek Hi Baarish Baras Rahi Hai
Chaaroon Jaaneb,
Baam O Dar Par,
Shajar Hejr Par,
Ghaas Ke Ujle Naram Badan
Aur Teen Ki Chat Par,
Shaakh Shaakh Mein Ugne
Waale Barg O Samar Par,
Lekin Is Ki Dil Mein Utarti
Mugham Si Aawaaz Ke Andar,
Jaane Kitne Aawaazen Hain,
Qatra Qatra Dil Mein Utarne,
Pahelne Waali Aawaazen,
Jin Ko Hum Mehsoos To Kar Sakte Hain,
Lekin,
Lafzoon Mein Duhra Nahin Paate...
Jaante Hain, Samjha Nahin Paate,
Jaise Pathjhad Ke Mausam Mein
Ek Hi Paid Pe Ugne Waale,
Har Patte Par Aisa Ek Samaa Hota Hai,
Jo Bas Us Ka Hi Hota Hai,
Jaise Ek Hi Dhun Ke Andar
Bajne Waale Saaz,
Aur Un Ki Aawaaz,
Khidki Ke Sheeshoon Par Padti
Boondoon Ki Aawaaz Ka Jaadoo,
Rim Jhim Ke Hahang Mein
Dhal Kar Sargoshi Ban Jaata Hai,
Aur Lahoo Ke Khulye Us
Ki Baaten Sun'ne Lag Jaate Hain...
Maazi, Haal Aur Mustaqbil,
Teenoon Ke Chehre,
Gud Mud Se Ho Jaate Hain,
Aapas Mein Kho Jaate Hain,
Chaaroon Jaanib Ek Dhanak
Ka Parda Sa Lehraata Hai,
Waqt Ka Pahiya Chalte Chalte,
Thodi Dair Ko Tham Jaat Hai,
Aaj Bahut Din Baad Suni
Hai Baarish Ki Aawaaz,
Aaj Bahut Din Baad Kisi
Manzar Ne Rasta Roka Hai,
Rim Jhim Ka Malboos Pahen Kar
Yaad Kisi Ki Aayi Hai...
Aaj Bahut Din Baad Achanak
Aankh Yoon Hi Bhar Aayi Hai,
Aankh Aur Manzar Ki Was'hat Mein
Chaaroon Jaanib Baarish,
Aur Baarish Mein,
Door Kahin Ek Ghar Hai Jis Ki,
Ek Ek Eent Pe Tere Mere
Khuwaab Likhe Hain,
Aur Us Ghar Ko Jaane Wali
Kuch Galiyaan Hain,
Jin Mein Hum Donoon Ke Saaye
Tanha Tanha Bheeg Rahe Hain,
Darwaaze Pe Qufl Pada Hai
Aur Dareeche Soone Hain...
Deewaaroon Par Jami Hui
Kaayi Mein Chup Kar,
Mausam Hum Ko Dekh Rahe Hain,
Kitne Baadal, Hum Donoon
Ki Aankh Se Ojhal,
Baras Baras Kar Guzar Chuke Hain,
Ek Kami Si,
Ek Nami Si,
Chaaroon Jaanib Pahel Rahi Hai,
Kahee Zambne Ek Hi Pal Mein,
Ba-Hum Mil Kar Bheeg Rahe Hain,
Andar Yaaden Sookh Rahin Hain,
Bahar Manzar Bheeg Rahe Hain...""/
Happy RainY Day.. ..
"2 Ajnabi dOst"
*¤"HEarT StoLer"¤*..
No comments:
Post a Comment