(" j ")
Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,
Zindgi se bhaag kr aaya hun mein,
Dar se larzaan hun kahin aesa na ho,
Raqs'gaah k chor darvaze pe aa k zindgi,
Dhond le mjh ko nishaan paa le mera,
Or jurm-e-aesh krte dekh le.
Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,
Raqs ki ye gardishen,
Ek mubham aasiya k daur hen,
Kesi sargarmi se ghm ko rondta jata hun mein,
Jii me kehta hun k haan,
Raqs'gaah me zindgi k jhaankne se peshtar,
Kuflaton ka sang'reza ek b rehne na paaye.
Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,
Zindgi mere liye ek khoon bheRiye se kam nai,
Ae haseen-o-ajnbi aurat osi k dar se mein,
Ho rha hun lamha lamha or b tere qareeb,
Jaanta hun tu meri jaan b nahin,
Tjh se milne ka phir imkaan b nahin,
Tu meri aarzuon ki magr tamseel he,
Jo rahi mjh se gurezaan aj tak..
Ae meri hm'raqs mjh ko thaam le,
Ehd-e-paarina ka mein insaan nai,
Bandgi se is dar-o-deewaar ki,
Ho chuki hen khwahishen be'soz-o-rng-o-natavaan,
Jism se tere lipat skta to hun,
Zindgi pr mein jhapat skta to hun,
Isliye ab thaam le,
Ae haseen-o-ajnbi aurat mjhe ab thaam le...~*~/
"2 Ajnabi dost"
..*¤"HEarT StoLer"¤*..
No comments:
Post a Comment