Oct 17, 2010

Teray Galay Mein Jo Baahon Ko

Teray Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhtay Hein,
Tujhe Mananay Ka Kaisa Kamaal Rakhtay Hein,

Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochnay Ki Khatir Hum,
Bahut Say Kaam MuQaddar Pay Taal Rakhtay Hein,

Koi Bhi Faisala Hum Souch Kar Nahi Kartay,
Tumharay Naam Ka Sikka Uchaal Rakthay Hein,

Tumharay Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni,
Bikhartay Sookhtay Pattay Sambhaal Rakhtay Hein,

Khushi Si Milti Hai Khud ko Aziyatein Day Kar,
So Jaan Boojh Kay Dil ko Nidhaal Rakhtay Hein,

Kabhi Kabhi Woh Mujhe Hans Kay Daikh Letay Hein,
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayaal Rakhtay Hein,

Tumharay Hijar Mein Yeh Haal Ho gaya Apna,
Kisi ka Khat Ho Ussay Bhi Sambhaal Rakhtay Hein,

Khushi Milay Toh Teray Baad Khush Nahi Hotay,
Hum Apni Aankh Mein Har Pal Malaal Rakhtay Hein,

Zamanay Bhar Say Bacha Kar Woh Apni Panaah Mein,
Meray Wajood Kay Tukray Sambhaal Rakhtay Hein,

Kuch Is Liye Bhi To Behaal Ho Gaye Hum Log,
Tumhari Yaad Ka Behad Khayal Rakhtay Hein...
 
 
 
"2 Ajnabi dost"
ALtEr Of FathEr

No comments: