Oct 17, 2010

Bheer mein aik ajnabi ka

Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga
Sab say chup kar woh kisi ka daikhna acha laga



Surmai Aankhon kay neechey phool say khilnay lagay

Kehtay kehtay kuch kissi ka souchna acha laga



Baat toh kuch bhi nahin thi lekin "us" ka aik dum

Haath ko honton pay rakh kar rokna acha laga



Chaa'ey mein cheeni milana us ghari bhaaya bohat

Zair-e-lab woh muskurata "shukria" acha laga



Dil mein kitnay aehad baandhay thay bhulanay kay ussay

Woh mila toh sab iraaday torna acha laga



Uss udoo-e-jaan ko Amjad~ bura kaisay kahoon

Jab bhi Aaya saamnay woh be-wafa acha laga
 
 
 
"2 Ajnabi dost"
WANtEd LArkA

No comments: