Jun 5, 2010

Aaj Sawal Uss Ka Tha Kay

Khowab Aankhon Mein Hi Basthe Hain
Aankhon Mein Hi Totthe Hain
Meri Aankhon Say Aaj Sare Khowab Bay Gay
Aaj Sawal Uss Ka Tha Kay
Kitna Chahte Hoo
Jawab Mera Tha
Tum Say Ziyada
Uss Ne Poocha, Mein Dil Rakta Hoon
Mein Ne Hans Kay Kaha Tum Bayter Janti Ho
Phir Uss Ne Kaha
Bare Dino Bad Mile Ho
Meine Kaha
Tumhe Fursat Kab Thi
Uss Ne Hans Kay Ghor Say Dekha Mujhe
Mein Ne Tanz Say Kaha
Nazar Lag Jay Gi
Kuch Soochte Huy Uss Nay Kaha
Suna Hay Kal Bohat Shokh Ho Rahay The Mehfil Mein
Mein Ne Nazar Bhar Kay Ussy Ghor Say Dekha Aur Muskura Kay Kaha
Tum Jo Nahi Thi Wahan
Faslon Par Yaqeen Rakthe Ho
Achank Uss Ne Sawal Kiya
Mein Zair-E-Lab Muskuraya Aur Kaha
Kiya Judai Ka Irrada Hay
Bare Ruokke Ruokke Nazar Aaray Ho! Uss Nay Poocha
Mein Nay Sar Khujatay Huy Kaha
Lagta Hay Aaj Jaghre Ki Raat Hay
Uss Nay Baat Badlthe Huay
Mosam Ka Zikar Chera
Mein Nay Aankhon Say Chsahma Nekalthe Huy
Aasman Ki Taraf Dekh Kay Kaha
Tum Jo Aai Ho Tou Yaqeenan Qayamat Ki Fiza Hogi
Woh Zara Mere Qareeb Aakay Boli
Suna Hay Raqeeb Justtujo Mein Hay
Mein Ne Uss Ka Hath Gussay Say Jhatak Kay Kaha
Lakh Justtujo Sahi Agar Tum Na Chaho Tou
Woh Phir Mere Qareeb Aai
Iss Pal Uss Ki Aanhkon Mein Sitaray Jilmila Rahay The
Woh Dheray Say Boli
Mujhe Dar Hay Mein Tujhe Koh Na Doon Kahin
Mein Nay Ussay Ghor Say Jab Dekha
Ajab Wehshat Thi Uss Ki Aankhon Mein
Woh Phir Dair Tak Mujhe Dekhthi Rahi
Phir Achanak Uss Nay Mere Chahray Say Nazray Hata Lie
Aur Ek Sard Aa Bahri
Aur Chal Di
Humesha Humesha Kay Liye Meri Zindagi Say


"2 Ajnabi dost"
 GurIyA KiLLEr

No comments: