Apr 18, 2010

mujh sEY kEhta tha

wO aksar mujh sEY kEhta tha
"tum lagti kaanch ki gurYa hO,
mEraY dil kaY gulshan mEY
chEhaknaY wali chirYa hO,


dil baahoO’n mEY bharnaY kO
jisEY bEY chain rEhta haY,
pEr mEraY andEr ik dar
mujh sEY kEhta haY,


mEraY haathoO’n sEY kahEEn …
tum chhoOt na jaaO,
zara si thaEs puhnchaY
aur tum toOt na jaaO,


kabhi na bEY khudi mEY kahEEn …
main aisEY bEh jaaoO’n
kisi lamhaY ki grift hO
kuch un chaaha sa kEh jaaoO’n",


main naY kaha kYun is qadar
tum qismat sEY dartEY hO,
hEr pal kYun dil-O-dimaagh ki
YE jang ladtEY hO,


phir Yun huwa ki us naY apna
hEr dar suna daala,
YaadoO’n kaY jism pEY laga
hEr zakhm dikha daala,


"kaY zindagi kaY dahaktEY rang
jO ab tak main naY hEin paalEY
kabhi wO aisEY na bhadkaY
kaY tum kO jala daalEY,


badhtEY badhtEY na badh jaaEY
tumhaarEY qurb ki khawhish is qadar,
taqdEEr tumhaY durr khEEnchaY
main paas aaOn jis qadar,


tOu main naY chun liYa mushkil safar
aur YE aalam-E-tanhaEE,
tumhaY toOtta dEkhnaY sEY haY
piYaari mujhaY judaEE",


phir na ruka aik bhi lamhaY
wO mEraY paas,
aur saath apnaY lEY gEYa
mEri hEr ik aas,


pEhlaY tu phir bhi haasil tha
mujhaY uska thOda saath,
hEr pal ki aarzoO mEY pEr ab!
rEh gaEE hoOn khaali haath,


[2 Ajnabi dost]
NO OBbJeCtiON 

No comments: