Tapti zameen par ansooaon k payar ki soorat hoti hain
Chahaton ki soorat hoti hain
Baitiyan khoobsorat hoti hain
Dil k zakham mitane ko
Angan me utri boondon ki tarah hoti hain
Baitiyan phoolon ki tarah hoti hain
Na mehruban dhoop me saya deti naram hathailyoun ki tarah hoti hain
Baityan titliyoun ki tarah hoti hain
Chiriyoun ki tarah hoti hain
Tanha,udas safar me rang bharti
Ridaon jese hoti hain
Baitiyan chaon(shade*)jesi hoti hain
Kabi bula sakin,kabi chupa sakin
Baitiyan un-kahi sadaaon jesi hoti hain
Kabi jhuka sakin,kabi mita sakin
Baitiyan ana-on jesi hoti hain
Kabi hasa sakin,kabi rula sakin
Kabi sanwar sakin,kabi ujjaar sakin
Baitiyan to tabeer mangti duaon jesi hoti hain
Had se maherban,bayan se achi
Baitiyan wafaon jesi hoti hain
[JiNNU RidEr]
FrEE StYlE
No comments:
Post a Comment