Jan 21, 2010

Wapis aa jao






Agarchay mien janta hun


waqt kabhi wapis nahi aaye ga....


Mein aksar Qabrastaan jata hun


Qabrastaan k band gate ko dekhta hun, jahan..


Mein ne apni sari Khushian aur umeeden dafn kar di theen


Kabhi na khatam honay wali tanhaai aur dukh...


Woh parinday jo hamesha hamen dekhtay they


Aur chehchahatay they


Ab mujhey akela dekhtay hain.......


Buhat takleef hoti hai


Jab woh mere ird-gird cheekhtay hain


Aisay lamhay mein


Tum buhat yaad aatay ho


Khuda k liye wapis aa jao


Wapis aa jao
 
"2 Ajnabi dost"
 i HatE giRlZ 
 
 

No comments: