Dec 31, 2009

tumhain paana chahti hoon

tumhain paana chahti hoon






tumhain paana chahti hoon par paa kar khonay sey darti hoon
jeevan aik aazmayish hai tujh bin jeenay sey darti hoon

jub sey suna hai mohabbat dhokoN ki bhi duniya hai
"bohat mohabbat hai tum sey"yeh kehnay sey darti hoon

ajab dar hai iss dil mein k mujhe tum chorr jao ghay
dekho aisa nahin karna aisay bichharnay sey darti hoon

zindagi mein khaayi hain main qadam qadam par thokrain
abhi woh zakham taaza hain aur khaanay sey darti hoon

bohat ajeeb sii hoon main,bohat pagal saa hai dil mera
darti hoon apni sochoN sey main ab sochnay sey darti hoon

kahin aisa naa ho jaaye mujhe tum chor jao bhool jao tum
naa koi suraagh ho tera main aisay khojnay sey darti hoon

apnay aansuaoN k samandar mein khud hi doob jaati hoon
rona aaye bhi ab agar to main ronay sey darti hoon

aakhir kya hoon main,aisi kyun hoon main aye Nayab!
jisay bohat chaha hai maine,ussey hi aur chanay sey darti hoon



uNiQuE sMiLe


No comments: