Dec 19, 2009

Wo tera rothna ………..

Wo tera rothna ………..





Wo tera rothna mujh say

Mera tujh ko mana laina

Mohabat ki nishani hai

Galay mujh ko laga laina

Mohabat jis say hoti hai

Use par maan hota hai

Kahin main roth jaon tou

Mujhay tum bhi mana laina

Ana say dore hi rahna

Kay ye sab koch mita dai gi

Ana kay khol say khud ko

Har surat bacha laina

Mohabat kay samandar main

Kabhi tufan bhi uthtay hain

Is tofan main jana mujhay

Kashti bana laina

Agar dubain gay hum donon

Tou aik sath dubain gai

Mera tum say yen waada hai

Magar tum bhi nibha laina….


"2 Ajnabi dost"
  lovE's PAin

No comments: