Dec 19, 2009

Kya bohat Zaroori hai?

Kya bohat Zaroori hai?




Khwaab posh aankhon ma
Aansu'on ka bhar jaana
Hasraton ke saahil par
Titliyon ka mar jaana
Habs ki hawaaon ma
Khushbu'on ka dar jaana
Dil ke garm sehra ma
Hash'r hi bapa hona
Dard la'dawa hona
Kya bohat Zaroori hai?
Ab tera juda hona



"2  Ajnabi Dost"
    LovE's PAiN

No comments: