Oct 12, 2009


~*AURAT*~ Yeh sochte guzari hay main ne raat Aurat hon kis tarha se karon apne dil ki baat Kyun ishi k wasty hain pabandiyan tamam Aurat k saath mard ka wabasta kyun hay naam Beti hay jab to baap se pahchani jati hay Bivi bhi aik mard ki woh mani jati hay Kiya is ki apni zaat ki pahchan hi naheen Aurat bas aik''cheez'' hay insaan naheen Malik tha pahly baap to shohar bana hay ab Jina hay jis k hukam k saye main rooz o shab Jo kuch raza thi baap ki sar ko jhuka liya Shohar ko sar ka taaj bana kar saja liya Aurat ki apni soch na apni pasand hay Is par jahan zaist ki har rah band hay Janat mile gi is ko yeh zulam sab sahy Ho choor ya sharabi majazi Khuda kahe Phir bhi hai khush yeh sochte huwe Jannat milegi mard ko is k kadam talle " 2 Ajnabi doSt" 03132174713

No comments: