Dec 23, 2009

piyaar ka bandhan....

piyaar ka bandhan....







  Uss ne mere haath mein bandha
ujla kangan beeley ka



pehle piyaar se thami kalayi
ba'ad iss ke hule hule pehnaya
ghehna phooloon ka



phir jhuk ker haath ko choom liya!



phool tu akhir phool hi they
murjha hi gaye.



Lakin meri raatien unn ki khushboo se
abb tak rooshan hein

banhoon per woh lamss
abhi bhi taza hai.


(Shakh-e-snuber per eik chand
damakta hai!)



Phool ka ghahna...

preem ka kangan...

piyaar ka bandhan....

abb tak meri yaad ke
haath lipta huwa hai!

"2 ajNAbi DoSt

SAZA-E-MAut 

No comments: