kabhi mujhko manao tum
mein tumse rooth gar jaoon
to mere paas ao tum
mere chehrai ko dekho yun
jaisai kuch kho gaya tumse
meri ankhoon mein dekho yun
jaisai kuch jaan na chahoo
mere hathoon mein ai hum dam
tum apna naam likh jao
yunhi bekhayali mein
mujhe hairaan kar jao
kabhi uljhi latoon ko tum
barai hi pyar sai suljhao
kabhi bikhri si zulfoon se
shararat yunhi kar jao
mein jo khafa si ho jaoon
furan masoom ban jao
yunhi benaam si baatoon sai
mere dil ko behlao tum
kabhi ansoo jo beh jain
to tum bechain ho jao
kabhi ashkhoon ko mere tum
apnai naam kar jao
kabhi haulai sai keh jao
roti tum achi nahi lagti
phir aglai pal shararat sai
mujhe dekho aur keh jao
mujhe roothi roothi si ai janam
bauhat achi tum lagti ho
yunhi pal bhar mein ai janaan
mujhe hairaan kar jao
kabhi jo dil zara samlai
tumhein har pal mein sochoon mein
kabhi khud sai hi muskaon
kabhi naraz ho jaoon
tumharai aks sai ai hum dam
mein har ek baat keh jaoon
apni sansain bhi ab to mein
tumharai naam kar jaoon
yunhi lamhoon mein roothoon mein
yunhi mujh ko manao tum
yunhi mohabbat mein beetain din
yunhi mujh mein samao tum
mein tumse rooth gar jaoon
to mere paas ao tum
"2 Ajnabi Dost"
SAZA-E-MAut
No comments:
Post a Comment