Oct 21, 2009

wo kuch ziyada hi yaad ata hai sardiyon main

udaas raaton mien tez coffee ki talkhiyon main,
wo kuch ziyada hi yaad ata hai sardiyon main,

mujhey ijazat nahin hai us ko pukaarney ki,
jo goonjta hai lahu mien,seeney ki dharkanon main,

wo bachpan jo udaas rahon mien kho gaya tha,
mien dhondta hun usey tumhari sharartoun main,

usey dilasey to dey raha hun magar ye such hai,
kahien koi khauf barh raha hai tasalliyon main,

tum apni pouron sey janey kia likh gaye thay jana,
charagh roshan hain ab bhi meri hatheliyon main,

jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakiengien,
teri yehi ehmiyat hai meri kahaniyon main,

mujhey yaqeen hai wo thaam ley ga, bharam rakhey ga,
ye maan hai to diye jalaye hain andhiyon main,

har ik mausam mien roshni si bekhairtey hain,
tumharey ghum key charagh meri udasiyon main.


"2 Ajnabi dost"
03132174713

No comments: