! Mujh ko wo Guriaa La do
Maa…! Mujh ko wo Guriaa La do,
Muje dar lagta hai,
Na jane kiu..???
Es bebak dunia se,
Ees be-eman dunia se,
Es jangle main basne wale logno se,
Un ki neeyatoo'n se,
Un ki nazroon se,
Nazroon main basne wali wahshatoon se,
Maa….!! Mujko woo guriaa la do na….!!!
K jis k sang main,
La-elmi k aalam main,
Kheela karti thi,
Her pal jhooma karti thi,
Na-dani k aalam main sang us k,
Uchla karti thi,
Be-fikri k aalam main usko,
Chooma karti thi,
Naadaan thi na,
Acha he tha,
Yun he uchla karna,
Hanste rahna phir roo jana,
Ro k chup ho jana,
Phir khoo jana,
Acha tha na AMMI…!!!
Jab se guriaa choori hai,
Woo be-fikri main ne khoo di hai,
Char su tanhai hai,
Lo…… phir aankh meri bhar aai hai ,
Roone ko ek kandha chahun,
Apnoo ka ek bandhan chahun,
Hath barhaoo'n to koi apna chahu'n,
Sapno ko sach karna chahu'n,
Par MAA…!!!
Her Taraf Ruswai hai,
Sun lo naa MAA….!!!
Mujh ko woo guria laa do…..!!!,
Mjhey phir se wese he jeena hai,
Wo guriaa k sang khelna hai,
Wo guriaa ka ghar sajana hai,
Woo jhoom jhoom k gana hai,
Wo befikri phir sajani hai,
Phir dil se muskurana hai,
Khul kar shoor machana hai,
Sab ka sath pana hai,
Acha AMMI….wo guriaa na sahi,
Woo pal he laa do,
Jab apna angan kalioo'n se mahka karta tha,
Mera babul ka angna phooloon se mahka karta tha,
Ham yun he mahka karty the,
Yaad hai na Maa…!!!
Wo tumhare piar ki maala,
Jis main tum ne ham pholoo ko
pirooya tha,
Ajj woo maala bikhri hai,
Main bhi uska hissa hun,
Us maaala k toot jane se,
Main bhi tu pal main bikhri hun,
Phir ……!!!
Es sangdil dunia k hathoo aai hun,
Maa…… Sach main ,
Mujhe dar lagta hai,
Yun hal pal Khoof k aalam main,
Jeena mushkil sa lagta hai,
Sun loo Naa MAA…!!!
Mujhko woo guriaa laa do,
Ya phir se….
Woo PAL laa do.
DiL hAi ChotA sA ChotI sI aAsHaA
cHanD tAaroOn kO cHoNeY kI aAsHaA
"2 Ajnabi dost"
03132174713
No comments:
Post a Comment