Oct 23, 2009

Pochnay walay Tujay kaisay bataen akhir


Pochnay walay
Tujay kaisay bataen akhir
Dukh ibarat tu nahi ju tujay likh ker baijhein
Yeh kahani bhi nahi hai ju sunaen tuj ko
na kui baat he aisi k bataen tuj ko
zakham ho tu teray nakhun k hawaly ker dein
aina bhi tu nahi hai k dhikaen tuj ko
tu nai pocha hai mager kaisay bataen tuj ko
yeh kui raaz nahi, jis ko chupaen tu wo raaz
kabi chehray, kabi ankhon sai chalak jata hai
jaisay anchal ko sanbhalay kui, aur taiz hawa
jab bhi chalti hai tu shano sai dhalak jata hai
ab tujay kaisay bataen k hamein kya dukh hai
Jism mein reengti rehti hai musafat ki thakan
pher bhi kandhon pai uthaey huway halaat ka bojh
apnay kadmon sa hatatey huway saya apna
jis ko bhi dhekyeh chup chaap chala jata hai
kahin khud sai kabi raston sai uljta hai mager
janay wala kissi awaz pai rukta he nahi
dhundna hai naya para-e-izhar hamein
ista'aron ki zuban kui samajta he nahi
Dil girafta hein talismat e gam e hasti sai
Sans lainay sai fason kari e jaan tot'ti hai
ek tagae'yur pas e her shai hai mager zulm ki dor
abi malom nahi keh kahan tot'ti hai
tu samajta hai khusbo sai mo'utter hai hiyaat
tu nai chak'kha he nahi zehr kissi mausam ka
tuj pai guzra he nahi raks e junu ka alam
aisa alam jahan sadiyon k tahae'yur ka nasha
her bicherti huwe sa'ut sai galay milta hai
Iss tamashay ka bazahir tu nahi kui sabab
sirf mehsos karo gai tu pata chalta hai
bai khaber rehna kissi baat sai acha he nahi
tu kabi waqt ki dehleez pai thehra he nahi
tu nai dhekay he nahi halka e amroz k rang
germeay wada e firda sai pighaltay huway log
apnay he khuwab ki tabeer mein jaltay huway log
bhok aur pyas ki mari huwe faslon ki terha
barr-e-azam ki lakiron sai ubhertay huway log
aman k naam pai barood bhari dunya mein
khas o khashaaak ki manind bikhertay huway log
roz jeetay huway aur roz he mertay huway log
zindagee film nahi hai ju dhekaey tuj ko
tu nai pocha hai mager kaisay bataen tuj ko
kui mehfoz nahi ahl e tahaffuz sai yahan
raat bhari hai kahein aur kahien din bhari hai
sari dunya kui maidan sa lagti hai hamein
Jis mein ek marka e sod o ziyan jari hai
pa'on rakhay huway baroood pai sab log jahan
apnay hathon mein uthatay huway perwana e shab
astino mein chupaey huwa mehtaaab kui
apni gerdan mein liyeh apnay giraibaan ka toq
neend mein chaltay huway dhektay hein khuwab kui
aur yeh sochtay rehtay hein k dewaron sai
shab k asar dhalay subha ka soraj ubhray
aa keh yeh manzar e khun basta dhekaen tuj ko
tu nai pocha hai mager kaisay bataen tuj ko
kui gahak he nahi joher e a'enda ka
chasm kholay huway baithi hai dokan e girya
aur issi manzer e khun basta k goshay mein kahin
sir pai dalay huway ek lamha e mojod ki dhul
tery usshaq buhat khak basar phertay hein
waqt kab khench lai maktal mein gawahi k liyeh
dast e khali mein liyeh kasa e sir phirtay hein
pochnay walay tujay kaisay bataen akhir
dukh ibarat tu nahi ju tujay likh ker baijhein
dukh tu mehsos huwa kerta hai
chahey tera ho k mera dukh ho
admi wo hai jissay jetay g
sirf apna he nahi sab ka dukh ho
chak ho jaey ju ek baar hawas k hathon
jama e ishq dobara tu nahi silta hai
asman meri zameno pai jhuka hai lekin
tera aur mera sitara he nahi milta hai ! 


"2 Ajnabi dost"
03132174713

No comments: