kaash main tere haseen
kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa
tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath
apani naazuk si kalayee mein chaDhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein
...tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko
main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata
jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti
tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata
raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
marmari haath kaa ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta
jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN
apani aankhon ko tere husn se kheraa karta
mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa
main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta
main tere jism ke aangan mein khanakata rahta
kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota
kaash main tere haseen haath kaa kangan hota
"2 Ajnabi dost"
[ kAsHhhhh ]
No comments:
Post a Comment