Jan 17, 2011

me ye soch kar

me ye soch kar us key dar se utha ta,
k wo rok legi mana legi mujko,
hawaon me lehrata ata tha daman,
k daman pakar kar bitha legi mujko,
qadam aise andaaz me uth rahe te,
k awaaz de kar bula legi mujko,
magar usne roka na usne manaya,
na daman hi pakra na muj ko bithaya,
na awaaz hi di na wapis bulaya,
me ahista ahista barhta hi aya,
yahan tak k us se juda ho gaya me,
juda ho gaya me....juda ho gaya me







"2 Ajnabi DOst"
 iAm ALoNE   ?

No comments: