Mar 24, 2010

tera aks chalakta hay.......

Aaj socha k ik nazam likhon
jiss ka unwaan kuch bhi ho, koi bhi ho
jessay sochty sochty soch ka
zaavia badalta hay
aaj ussi tarah is nazam ka
unwaan sochty lamhay bhar ko
tera khiyaal aayaa
keh, kiya likhon jo tujy amar kar don
apni ankhon main ubharta kajol kar don
apni sooni kalai ka kangan kar don
baar haa hum nay chaha k
apny seenay main chupa ker dharkan kar don
phir khiyal aaya keh
unwaan jo bhi ho
socha ka zaavia jesay bhi badalta ho
meri kalam ka her nukta
sirf,
teri janib hi rukta hy keh
dill or dharkan
ankh or kajal
kalai or kangan in sab main
tera aks chalakta hy
aaj phir likhaty likhtay
hum nay jaan liya keh
is nazam ka unwan kia hay
wohi hy mera wajood k jiss main
bas,
ji



"2 Ajnabi Dost"
   ME & YoU

No comments: