Ay ishq humein barbaad na kar
Ay ishq na chaiR aa aa ke humein, hum bhoole hu'on ko yaad na kar
Pehle hee bahut na'shaad hain hum, tu aur humein na'shaad na kar
Qismat ka sitam hee kam nahii kuch, ye taaza sitam eejaad na kar
Yoon zulm na kar be'daad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Jis din se mile hain dono ka, sub chain gaya aaraam gaya
Chehron se bahaar-e-subah gaii, aankhon se farogh-e-shaam gaya
Haathon se khushii ka jaam chuta, honton se hansii ka naam gaya
Gamgeen na bana na'shaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Raaton ko uth uth rote hain, ro ro ke duaaein karte hain
Aankhon ma tasavvur, dil ma Khalish, sar dhunte hain, aahein bharte hain
Ay ishq ye kaisa rog laga, jeete hain na zaalim marte hain
Ye zulm to ai jallaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Ye rog lagaa hai jab se humein, ranjeeda hoon ma beemaar hai wo
Har waqt tapish, har waqt khalish, be'khwaab hoon ma be'daar ha wo
Jeene se idhar be'zaar hoon ma, marne pe udhar tayyaar hai wo
Aur zabt kahe fariyaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Jis din se bandha hai dheyaan tera, ghabraaye huye se rehte hain
Har waqt tasavvur kar kar ke, sharmaaye huye se rehte hain
Kumhlaaye huye phoolon ki tarah kumhlaaye huye se rehte hain
Paamaal na kar, barbaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Be'dard zara insaaf to kar, is umr ma aur maghmoom hai wo
Phoolon kii tarah naazuk hai abhi, taaron kii tarah masoom hai wo
Ye husn sitam ye runj ghazab, majboor hoon ma mazloom hai wo
Mazloom pe yoon be'daad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Ay ishq Khudaa'ra daikh kahiin, wo shokh haseen bad'naam na ho
Wo maah-e-laqa badanaam na ho, wo zohra jabeen bad'naam na ho
Naamoos ka us ko paas rahe, wo parda nashiin bad'naam na ho
Us parda nasheen ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Umeed kii jhoothii jannat ke, reh reh ke na dikhla khwaab humein
Aainda ke farzii ishrat ke, waade se na kar be'taab humein
Kehta hai zamaana jis ko khushi, aatii hai nazar kaam'yaab humein
ChoR aisii khushii ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Kya samjhe the aur tu kya nikla, ye soch ke hee hairaan hau hum
Hai pehle pehal ka tajruba aur kam'umar hain hum, anjaan hain hum
Ay ishq khuda'ra rehm o karam, ma'soom hain hum, nadaan hain hum
Nadaan hain hum, na'shaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Wo raaz hai ye gham aah jise, paa jaaye koii to khair nahii
Aankhon se jab aansoo bahte hain, aa jaaye koii to khair nahii
Zaalim hai ye dunya dil ko yahaan, bhaa jaaye koii to khair nahii
Hai zulm magar faryaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Do din hee ma ehad-e-tiflii ke, masoom zamaane bhool gaye
Aankhon se wo khushiyaan mit see gaein, lab ke wo taraane bhool gaye
Un paak behishtii khwaabon ke, dil'chasp fasaane bhool gaye
Un khwaabon se yoon azaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Us jaan e haya ka bus nahi kuch, be'bus hai paraaye bus ma hai
Be'dard dilon ko kya hai khabar, jo pyaar yahan aapus ma hai
Hai be'busi zeh'r aur pyaar hai rus, ye zeh'r chupa is rus ma hai
Kehti hai haya faryaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Aankhon ko ye kya aazaar hua, har jazb-e-nihaan par ro daina
Aahang-e-tarab pe jhuk jaana, aawaaz-e-fughaan par ro daina
Barbat kii sada par ro daina, mutrib ke bayaan par ro daina
Ehsaas ko ghum bunyaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Har dam abdi raahat ka samaan dikhla ke humein dil'geer na kar
Lillah hubaab e aab e rawaan par naqsh e baqaa tehreer na kar
Maayoosi ke ramte baadal par umeed ke ghar ta'meer na kar
Ta'meer na kar, aabaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Jee chaahata hai ik doosre ko, yoon aath pehar hum yaad karein
Aankhon ma basaaein khwaabon ko, aur dil ma khayaal aabaad karein
Khilwat ma bhii ho jalwat ka saamaan, wehdat ko duii se shaad karein
Ye aarzooein eejaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
Dunya ka tamaasha daikh liya, ghamgeen sii hai be'taab sii hai
Umeed yahaan ik weham sii hai, taskeen yahaan ik khwaab sii hai
Dunya ma khushii ka naam nahii, dunya ma khushii naa'yaab sii hai
Dunya ma khushii ko yaad na kar
Ay ishq humein barbaad na kar
"2 Ajnabi dost"
BARdaasTh
No comments:
Post a Comment